Zulaam Hai Gar Na Do
Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Payaar;
Aapka Banda Aur Phiroon Nanga;
Aap Ka Naukar Aur Khaaoon Udhaar;
Meri Tankhwah Kijeye Maah Ba Maah;
Ta Na Ho Mujhko Zindagi Dushwaar;
Khatam Karta Hoon Ab Dua Pe Kalaam;
Shaairy Se Nahin Mujhe Sarokaar;
Tum Salaamat Raho Hazaar Baras;
Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar!
