Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayen Hum


Ye aur baat teri gali mein na aayen hum,
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum,
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye,
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum,
shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake,
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum,
benur ho chuki hai bahut shahar ke faza,
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum,
us ke bagair aj bahut jee udas hai,
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum.

Leave a comment