Wo Mera Ghar Nahin Aata
Wo mere ghar nahin aata, Mein us ke ghar nahin jaata
Magar in ehtiyatoN se, T’alluq mar nahin jaata
Bure achchhe ho jaise bhi ho, Sab rishte yahan ke hain
Kisi ko saath duniya se, Koi lekar nahin jaata
Gharon ki tarbiyat kya aagai TV ke haaton mein
Koi bachcha ab apne baap ke upar nahin jaata
Khule the sheher mein so dar, Magar ek had ke andar hi
Kahan jaata agar mein, Laut ke phir ghar nahin jaata
Muhabbat ke ye aansoo hain, Inhen aankhon me rehne do
Shareefon ke gharon ka, Mas’ala bahar nahin jaata.