Wasi Shah Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

To Main Bhi Khush Hon Koi Usse

To main bhi khush hon koi us se ja ke keh dena,
Agar woh khush hai mujhe be-qaraar karte huye,

Tumhe khabar hi nahin hai ke koi toot geya,
Mohababton ko bohat paayedaar karte huye..

Mujhe Teri Mohabbat Mein Kho Jaane Do

‘Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do,

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,

Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do,
Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein,

Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do,
Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,

Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do,

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob,
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do’

Bhanwar Ki Goud Me Jaise Kinare

Bhanwar ki goud me jaise kinara sath rehta hai,
Kuch aise hi tumhara aur hamara sath rehta hai,

Mohabbat ho k nafarat ho usi se mashwara ho ga,
Meri har kafiyat me istekhara sath rehta hai,

Safar me ain mumkin hai main khod ko chor don lekin,
Duaen karne walon ka sahara sath rehta hai,

Mere mola ne mujh ko chahaton ki saltanat de di,
Magar pehli mohabbat ka khasara sath rehta hai,

Agar syed mere lab par mohabbat hi mohabbat hai,
To phir yeh kis lie nafarat ka dhahara sath rehta hai.

Jab Bhi Wo Shakhs Wasi Mujhse

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujhse Khafa Ho Jaye,
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye,

Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa,
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye,

Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab,
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye,

Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain,
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye,

Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka “Wasi”
Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye.

Teri Aankhon Ke Haseen Jaal Mein

Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaonga main,
Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaonga main,

Zindagi baad tere hona thi mushkil lekin,
Yeh na socha ke is haal mein ajaon ga main,

Dekh kar us ko mujhe yad kare gi dunya,
Aik din us ke had’o’haal mein aajaon ga main,

Kitne mausam they jo de kar mujhe taanay guzre,
Tum to kehte they ke ik saal mein ajaon ga main,

Sur mein ajaye ga jeevan tere aa jane se,
Tere aaney se kisi taal mein aajaon ga main,