Lahoo na ho to kalam tarjuman nahin hota
Hamare daur me aansoo zuban nahin hota
Jahan rahega waheen roshni lotaye gaa
Kisi charagh ka apna makan nahin hota
Khusi ka wada sabhi se kiya gaya hai to fir,
Mere LaboN ko bhi thodi bahot hansi to mile.
Hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jaaye,
Ye wo nahin jo kisi rehguzar ka ho jaaye,
Usee ko jeene ka haq hai jo is zamane mein,
idhar ka lagta rahe, aur udhar ka ho jaaye.
Mai katra hoke bhi toofaaN se jang leta hooN,
Mujhe bachana samandar ki zimmedari hai,
Muhabbat mein buri niyyat se kuch socha nahin jaata
Kaha jaata hai us ko be-wafaa, samjha nahin jaata
Jhukata hai ye sar jis ki ibadat ke liye us tak
Tera jazba to jaata hai tera sajda nahin jaata
Tumhare saath mein koi nayapan hai to bas ye hai
Bohot takleef deta hai, magar chhoraa nahin jaata.
Asoolon par jahaaN aanch aaye takraana zaroori hai,
Jo zinda ho to fir zinda nazar aana zaroori hai,
Mujhe bujhaa de, meraa dard mukhtasar kar de
Magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de
Meri talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
Main teraa raastaa chhoruuN to dar-ba-dar kar de
Judaaiyon ki ye raaten to kaatni hongi
Kahaaniyon ko koi kaise mukhtasar kar de
Tere khayaal ke haathon kuch aisaa bikhraa hun
Ke jaise bachchaa kitaaben idhar-udhar kar de.
Muhabbat meiN buri niyat se kuchh socha naheeN jaata,
Kaha jaata hai usko bewafa samjha naheeN jaata.
Apne har ek lafz ka khud aainaa ho jaaunga
Us ko chhota keh ke mein kaise bada ho jaaunga
Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
Mein gira to mas’ala bankar khada ho jaaunga
Mujh ko chalne do, akela hai abhi mera safar
Raasta roka gayaa to qafila ho jaaunga
Sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ek tere kehne se kya main be-wafa ho jaaunga?
Tujhe paane ki koshish meiN kuch itna kho chuka hooN maiN
Ki tu mil bhi agar jaye to ab milne ka gham hoga,
Aate aate mera naam saa reh gaya
Us ke honton pe kuchh kanpta reh gaya
Wo mere samne hi gaya aur mein
Raste ki tarah dekhta reh gaya
Jhooth waale, kahin se kahin badh gaye
Aur mein tha ke sach bolta rehgaya
Aandhiyon ke irade to achchhe n the
Ye diya kaise jalta huwa reh gaya?
main apne khwab se bichada nazar nahi aata
tu is sadi mein akela nazar nahi aata
ajab dabav hai in bahri hawaon ka
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahi aata
main ek sada pe hamesha ko ghar chod aaya tha
magar pukarane vala nazar nahi aata
main teri reh se hatane ko hat gaya lekin
mujh to koi bhi rasta nazar nahi aata
dhuan bhara hai yahan sabhi ke aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata
Zara sa qatara kaheen aj agar ubharata hai
samandaron hi ke lahaje mein baat karta hai
khuli chaton ke diye kab ke bujh gaye hote
koi to hai jo hawaon ke par katarata hai
sharafaton ke yahan koi ahamiyat hi nahi
kisi ka kuch na bigado to kon darta hai
zamin ke kaisi viqalat ho phir nahi chalati
jab aasman se koi faisala utarata hai
tum aa gaye ho to phir kuch chandani si baten hon
zamin pe chand kahan roz roz utarata hai.
Wo mere ghar nahin aata, Mein us ke ghar nahin jaata
Magar in ehtiyatoN se, T’alluq mar nahin jaata
Bure achchhe ho jaise bhi ho, Sab rishte yahan ke hain
Kisi ko saath duniya se, Koi lekar nahin jaata
Gharon ki tarbiyat kya aagai TV ke haaton mein
Koi bachcha ab apne baap ke upar nahin jaata
Khule the sheher mein so dar, Magar ek had ke andar hi
Kahan jaata agar mein, Laut ke phir ghar nahin jaata
Muhabbat ke ye aansoo hain, Inhen aankhon me rehne do
Shareefon ke gharon ka, Mas’ala bahar nahin jaata.
Mein is ummid pe dooba ke tu bacha lega
Ab is ke baad mera imtehaan kya lega
Ye ek mela hai, wada kisi se kya lega
Dhalega din to har ek apna rasta lega
Mein bujh gaya to hamensha ko bujh hi jaunga
Koi charagh nahin hun jo phir jalaa lega
Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal ho wo badla kisi se kya lega
Hzaar tod ke aa-jaaun usse rishta “Waseem”
Mein jaanta hun, wo jab chahega bula lega.