Shayari With Comedy - Page 18 - Hindi Shayari

Tumhari Naam Ki Gazalein

Tumhari naam ki gazalein chand par likhne ko ji chahta hai.
Par kya karu yeh zalim khwab amavas ki raat ko hi aata hai.

tumhari-naam-ki-gazalien-chand-par-likhne-ko-ji-chahta-hai

Kisi Shayar Ne Kaha

Kisi shayar ne kaha..
Zindagi ek lamba safar hai,
Kisi aashiq ne kaha..
Zindagi ek mushkil paheli hai,
Are dosto zindagi ka arth toh sirf voh bata sakta hai,
Jiski shaadi ke baad bhi koi saheli hai!!

kisi-shayar-ne-kaha-zindgai-ek-lamba-safar-hai

Jab Tum Is Duniya Se Jaoge

Jab tum is duniya se jaoge,
Door kahin ek naya janam paoge,
Is baar jo hua bahut bura hua,
Agli baar tum ek lambi pooch aur chaar taang paoge.

jab-tum-is-duniya-se-jaoge-door-kahin-ek-naya-janam-paoge

Tumhari Yaad Dil Se

Tumhari yaad dil se jaane nahi denge,
Tumhare jaisa dost khone bhi nahi denge,
Roz sharafat se sms kiya karo warna,
Ek kaan k neeche denge or rone bhi nahi denge.

Tumhari Yaad Dil Se

LIC Wale Bhi Kya

LIC wale bhi kya gazab dhate hain,
LIC wale bhi kya gazab dhate hain,
Logon ki biwiyon ke paas ghanton baith k
Husband ke marne ke fayde batate hain..

lic-wale-bhi-kya-gazab-dhate-hai

Yaad Karte Hai Tumhe

Yaad karte hai tumhe tanhai mein,
Dil duba hai gamo ki gahrai mein,
Hume mat dhundo duniya ki bheed mein,
Hum milenge tumhe fir kisi,
Free SMS ki scheme mein.

yaad-karte-hai-tumhe-tanhai-mein

Yeh Exam Ke Rishte

Yeh exam ke rishte bhi ajeeb hote hain,
Sab apne apne naseeb hote hain,
Rahte hain jo nigahon se door,
Saale wahi question compulsary hote hain.

yeh-exam-ke-rishte-bhi-ajeeb-hote-hain

Taza Hawa Ka Jhoka Aaya

Taza hawa ka jhoka aaya,
Kushbu tere sath laya,
Phir mere dil me khayal aaya,
Ke lagta hai ki,
Aaj bhi tu.. Nahi ‘NAHAYA’

taza-hawa-ka-jhoka-aaya-kushbu-tere-sath-laya

Baithe Hain Tere Khayalon Mein

Baithe hain tere khayalon mein,
Kagaz pe likha hai tera naam,
Kagaz pe teri tasveer laga ke,
Llikha hai yeh paigam,
Zinda ya murda pakadane wale ko,
Milega 50000 ka inam.

baithe-hain-tere-khayalon-mein

Woh Bewafa Hoti Toh

वो बेवफा होती तो यारों बात और थी
उसकी वफ़ा से ही दिल में जखम है।
हर दुसरे दिन उसका मैसेज आ जाता है
“मोबाइल रिचार्ज करा दो बैलेंस ख़तम है”

Use Karte Hain Makeup Ka Dabba

Use karte hain makeup ka dabba roz kyun,
Ban sanwar kar nikalte hain roz kyun,
Mummy, tum to kehthi thi Eid to kab ki gayi,
Phir padosan se gale milte hain papa roz kyun.

use-karte-hain-makeup-ka-daab-roz-kyun

Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai

Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai,
Na Kuch Khane-Peene, Na Sone Ko Jee Chahta Hai,
Ye Garmi Ab Bardaast Nahi Hoti,
Sab Chhod Kar Ab Shimla Chale Jane Ko Jee Chahta Hai.

na-muskarane-ko-jee-chahta-hai

Sangeet Ka Taraana Hua

Sangeet ka taraana hua,
Shamaa ka parwana hua,
Masti ka mastaana hua,
Jaise hi gunghat uthaya,
Is duniya se ravana hua!

sangeet-ka-tarana-hua

Na Neend Aaye Raaton Ko

Na Neend Aaye Raaton Ko,
Na Chaen Aaye Din Bhar,
Khuda Se Puchha Maine..
Kya Ye Pyar Ka Bukhaar Hai?
Khuda Ne Jawaab Diya..
Arre Nahi Garmi Mei Sabka Hi Aesa Haal Hai.

na-neend-aaye-raaton-ko

Majne Ko Laila Ka

Majnu ko laila ka sms nahi aaya,
Majnu ne teen din tak khana nahi khaya,
Majnu marne wala hai laila ke pyar mein,
Laila baithi hai sms free hone ke intazar mein.

mainu-ko-laial-ka-sms-nahi-aaya

Chhod Diye Wo Kam

Chhod diye wo kam jinke galat the anjam,
Ab kuchh din nek kamo me bitayenge,
Aur 12thpass karne ke baad hi,
Koi nayi ladki ptayenge.

chhod-diye-wo-kam-jinke-galat-the-anjam

Ishq Hai To Ishq Ka

Ishq hai to ishq ka izhar bhi hone chahiye,
Aadmi ko shakl se bimar bhi hona chahiye,
Yaadon ko keh do, do chaar din ki chhuti de de,
Akhir ishq mein itvaar bhi hona chahiye.

ishq-hai-to-ishq-ka-izhar-bhi-hone-chahiye

Aayenge Teri Gali Me

आयेंगे तेरी गलि में चाहे देर क्यू न हो जाये।
करेंगे मोहब्बत तुझसे हि चाहे जेल क्यू न हो जाये

Ankho Me Aansu

Ankho me aansu, chehre par hansi hai,
Saanso me aahein, Dil me bebasi hai,
Pehle kyun nahi bataya ki, darwaje mein ungli fansi hai.

ankho-me-aansu-chehre-par-hansi-hai

Teri Kamar Par Haath Rakha Tha

तेरी कमर पर हाथ रक्खा था ..
नियत का फिसल कर नीचे सरकना तो लाज़मी था