Shayari With Comedy - Page 16 - Hindi Shayari

Shehar Ki Gali Mein

Shehar ki Gali mein paan ki dukan,
Devdas ne dekhi paro ki muskan,
Devdas ne khilaya paro ko paan,
Kha ke paan paro boli, shukriya Bhaijan…

shehar-ki-gali-mein-paan-ki-dukan-devdas-ne-dekhi-paro-ki-muskan

Naa Hi Zaroorat Hai Sitaron Ki

Naa hi zaroorat hai sitaron ki,
Naa hi zaroorat hai faltu yaaron ki,
Ek dost chahiye aapke jaisa,
Jo watt laga de Hazaron ki.

naa-hi-zaroorat-hai-sitaron-ki-naa-hi-zaroorat-hai-faltu-yaaron-ki

Jeevan Ke Har Mod Par

Jeevan ke har mod par bas toone saath nibhaya hai,
Toone hi har roz palkon par ek naya khwaab sajaya hai,
Par ab kuchh din ke liye maaf karo hey nidra devi,
Ab exam bilkul sar pe aaya hai.

jeevan-ke-har-mod-par-bas-toone-saath-nibhaya-hai

Tumse Mil Kar Ho Gaya

Tumse mil kar ho gaya zindagi se pyar,
Ab humein chhod kar mat jana yaar,
Bin tere hum jee na paayenge,
Tum na hoge to hum ULLU kise banayenge.

tumse-mil-kar-ho-gaya-zindagi-se-pyar

Gul Gaye, Gulshan Gaye

Gul gaye, gulshan gaye,
Gul gaye, gulshan gaye,
Gayi tumhari hoton ki lali,
Chhod do mera peecha,
Ho gayi tum bachchon wali.

gul-gaye-gulshan-gaye

Aaj Kal Tum Muskurati Bahut Ho

Aaj kal tum muskurati bahut ho,
Mere dil ko bhaati bahut ho,
Dil kehta hai le jaaun tumhein dinner pe,
Par suna hai tum khaati bahut ho!

aaj-kal-tum-muskurati-bahut-ho

Exams Ke 4 Din Pehle

Exams ke 4 din pehle syllabus dekha,
To yaad aaya kuchh to hua hai kuchh ho gaya hai,
Exams ke din paper dekh kar yaad aaya,
Sab kuchh alag hai sab kuchh naya hai.

exams-ke-4-din-pehle-sylaabus-dekha

Tu Kahe To Chaand Taare Tod Du

Tu kahe to chaand taare tod du,
Tu kahe to bandh darwaaje khol du,
Tu kahe to yeh duniya chhod du,
Tu ek baar haske to dekh mere dost,
Tere saare gande daanton ko tod du.

tu-kahe-to-chaand-taare-tod-du

Lamha Lamha Guzar Jayega

Lamha lamha guzar jayega,
Pal mein exam aa jayega,
Thoda padhai karle mamu,
Kyunki tu koi Munna nahi jo,
Tera paper likhne koi
Rustam aa jayega…..

lamha-lamha-guzar-jayega-pal-mein-exam-aa-jayega

Kadam Kadam Pe Hawa Ki

Kadam kadam pe hawa ki aahat ka dhyan rakhna,
Mushkil samay mein bhi iss dost ko yaad rakhna,
Hamari yaadon ki khushboo zaroor aayegi,
Tum bus apni naak saaf rakhna.

kadam-kadam-pe-hawa-ki-aahat-ka-dhyan-rakhna

Ishq Mein Yeh Anjaam Paaya Hai

Ishq mein yeh anjaam paaya hai,
Haath pair tute, muh se khun aaya hai,
Hospital pahunche to nurson ne farmaya,
“Baharon phool barsao kisi ka mehboob aaya hai”

ishq-men-yej-anjaam-paaya-hai

Dekha Tujhe To Rooh

Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi woh bhi puri ho gayi,
Pagal hain woh log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!

dekha-tujhe-to-rooh-khush-ho-gayi

Jise Koyal Samjhe

Jise koyal samjhe, woh kauwa nikla,
Dosti ke naam par hauwa nikla,
Jo roka karte they humein sharab peene se,
Aaj unki jeb se pauwa nikla..

jise-koyal-samjhy-woh-kawwa-nikla

Saari Raat Guzar Jaati Hai

Saari Raat Guzar Jaati Hai
Bas Isi Kasmakash Mein Ki..
.
.
Ye Saali Razayi Mein
Hawa Kidhar Se Ghus Rahi
Hai..!!

saari-raat-guzar-jaati-hai-bas-isi-kasmkash-mein-ki

Raste The Anjaan Phir Bhi

Raste the anjaan phir bhi hum talash mein unki nikal pade,
Unki aankhon ki kashish mein hum kheenche chal pade,
Maloom chala woh kaun si thi dagar jispe hum the nikle,
Jab use patane ke chakkar mein hamein joote chappal pade.

raste-the-anjaan-phir-bhi-hum-talash-mein-unki-nikal-pade

Mujhe Mat Dhundo

Mujhe Mat Dhundo Is Jahan
Ki Tanhai Mein
.
.
.
Thand Bahut Hai Mein To
Hun Apani Rajai Mein

mujhe-mat-dhundo-is-jhan-ki-tanhai-mein

Jawani Ke Din Chamkile Ho Gaye

Jawani ke din chamkile ho gaye,
Husn ke tevar nukeele ho gaye,
Hum izhar karne me thode dhele ho gaye,
Aur udhar unke hath peele ho gaye!

jawanki-ke-din-chamkile-ho-gaye

Kyun Kisi Ki Yaadon Mein

Kyun kisi ki yaadon mein roya jaye,
Kyun kisi ke khayalo mein khoya jaye,
Mera to yakeen hai,
Bahar mausam bahut kharab hai,
Kyun na razai tankar soya jaye.

kyun-kisi-ki-yaadon-mein-roya-jaye

Lamha Lamha Karke Waqt Guzar Jayega

Lamha Lamha karke waqt guzar jayega,
7 fero ka sathi tumse bandh diya jayega,
Abhi bhi waqt hai yaaro kisi ko pata lo,
Kya pata kal kisi ka pataya hua maal tumhein saup diya jayega.

lamha-lamha-karke-waqt-guzar-jayega

Jis Chehre Ko Dekh Kar

Jis Chehre Ko Dekh Kar Haste The Hum,

Aaj Usine ‘Rula Diya’ Khud Ne To Phone Kiya Nahi,

Humne Kiya To Caller Tune… ‘Tuje Bhula Diya’

jis-chehre-ko-dekh-kar-haste-the-hum