Shayari With Comedy - Page 13 - Hindi Shayari

Muqaddar Mein Raat Ko

Muqaddar Mein Raat Ko Neend Nahi To Kya,
Muqaddar Mein Raat Ko Neend Nahi To Kya,
Hum Bhi Muqaddar Ko Chuna Lagate Hain,
Aur Din Mein Hi So Jaate Hain.

muqaddar-mein-raat-ko

Janeman Aapki Mohabbat Mein

Janeman aapki mohabbat mein,
Kya se kya haal ho gaya,
Badan se badboo aa rahee hai,
Nahaye huye saal ho gaya..

janeman-aapki-mohabbat-mein

Bahut Khoobsurat Ho Tum

Bahut Khoobsurat Ho Tum
Khud Ko Duniya Ki Buri Nazar Se Bachaya Karo
Sirf Aankhon Mein Kajal Hi Kafi Nahi
Gale Mein Nimbu-Mirch Aur Chappal Bhi Latkaya Karo

bahut-khoobsurat-ho-tum

Aap Apni Zindagi Mein

Aap apni zindagi mein itna aage jao,
Ki duniya aapse bas yahi kahe,
Jao baba aage jao, aage jao.

aap-apni-zindagi-mein

Woh Rooth Kar Kehti Hai Humse

Woh Rooth Kar Kehti Hai Humse
Tumhara To Mel-Jol Mehenga Ho Gaya Hai
Us Pagli Ko Kaun Samjhaye
Ke Petrol Mehenga Ho Gaya Hai

woh-rooth-kar-kehti-hai-humse

Kabhi Hausla Bhi Aazma Chahiye

Kabhi hausla aazma chahiye,
Bure waqt me muskara lena chahiye,
Jab saat din me bhi khujli naa mite to,
Aathve din achhe se naha lena chahiye.

Kabhi Hausla Bhi Aazma Chahiye

Agar Doodh Mein Gire Chawal

Agar Doodh Mein Gire Chawal Use Khir Kehte Hain,
Agar Doodh Mein Gire Chawal Use Khir Kehte Hain,
Agar Pyar Mein Pade Jutey Use Taqdeer Kehte Hain.

agar-doodh-mein-gire-chawal

Na Ishq Karna Mere Yaar

Na ishq karna mere yaar,
Ye ladkiyan bahut satati hai.
Na karna in par aitbar,
Ye kharch bahut karwati hai.
Recharge tum karwa ke dete ho,
Aur yeh number mera lagati hain.

na-ishq-kar-mere-yaar-yeh-ladkiya-bahut-satati-hai

Internet Par Ladki Pataayi

Internet par ladki pataayi,
Internet par ho gayi sagaayi,
Internet par divorce ho gaya,
Is bahaane computer ka course ho gaya.

internet-par-ladki-pataayi

Meri Zindagi Ek Jua Ban Ke Reh Gayi

Meri Zindagi Ek Jua Ban Ke Reh Gayi
Meri Zindagi Ek Jua Ban Ke Reh Gayi
Maine Jise Pyar Kiya
Voh Mere Bachon Ki Bua Ban K Reh Gayi

meri-zindagi-ek-jua-ban-ke-reh-gayi

Ashiq Pagal Ho Jaate Hain

Ashiq pagal ho jaate hain pyar mein,
Baki kasar puri ho jati hai intezar mein.
Magar ye dilruba nahi samajhti,
Golgappe khati firti hai baazar mein.

ashiq-pagal-ho-jaate-hain

Haseen Tum Ho To

Haseen Tum Ho To Bure Hum Bhi Nahi,
Mehlon Main Tum Ho To Sadkon Par Hum Bhi Nahi,
Pyar Karke Kehte Ho Ke Shadi-Shuda Hain Hum,
To Kaan Khol Ke Sun Lo Kuwanre Hum Bhi Nahi.

haseen-tum-ho-to-bure-hum-bhi-nahi

Shadi Karna Tha Par

Shadi karna tha par kismat khuli nahi,
TAJMAHAL Banana tha par MUMTAZ mili nahi,
Ab kismat khuli Shadi hui,
Ab TAZ banana chahta hu,
Par ye MUMTAZ marti nahi!

shadi-karna-tha-par-kismat-khuli-nahi

Usne Jis Jis Jagah Rakkhe Kadam

Usne Jis Jis Jagah Rakkhe Kadam
Humne Woh Har Jameen Choom Li
Aur Vo Bewafa Ghar Aa Kr Kahti Hai,
“Aap Ka Ladka Mitti Khata Hai”

usne-jis-jis-jagah-rakkhe-kadam

Yaadein Wo Nahi

Yaadein wo nahi jisme bichadne ka ghum chupa hai
Yaadein wo nahi jisme aankom ka num chupa hai
Yaadein wo nahi jisme tanhai ka zakhm chhupa hai
Yaadein wo hai jisme Hrithik ne act kiya aur jise Subhash ghai ne direct kiya hai.

yaadein-wo-nahi-jisme-bichadne-ka-ghum-chupa-hai

Ek Boond Se Sagar Nahi Banta

Ek Boond Se Sagar Nahi Banta
Rone Se Mukaddar Nahin Banta
Patana Hai To Pura Girls Hostel Patao
Ek Ladki Patake Koi Sikandar Nahin Banta

ek-boond-se-sagar-nahi-banta

Hansti Thi Hansaati Thi

Hansti thi hansaati thi,
Dil ko bahut hi bhaati thi,
Dekh dekh sharmaati thi,
Phir andar se muskurati thi,
Aaj! Pata chala
Woh to pagal thi.

hansti-thi-hansaati-thi

Tum Sa Koi Dusra Zameen Par Hua

Tum Sa Koi Dusra Zameen Par Hua,
Toh Rab Se Shikayat Hogi,
Ki, Ek Toh Jhela Nahi Jata,
Doosra Kahi Mil Gaya To Kya Halat Hogi.

tum-sa-koi-dusra-zameen-par-hua

Padh Likh Kar Kya Karna Hai

Padh likh kar kya karna hai,
Ek din to sab ko marna hai,
Mar kar phir paida hue,
To phir nursary se hi shuru karna hai.

padh-likh-kar-kya-karna-hai

Kya Aankhein Hai

Kya Aankhein Hai,
Kya Baatein Hain,
Kya Chehra Tumne Paya Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Jaise, Peepal Ke Ped Se Bhoot Utarkar Aaya Hai.