Zindagi uski jiski mout pe zamana afsos karega Yun to,
har shakhs aata hai duniya me marne ke liye.
Kya zamaana tha, hum roz mila karte the,
Raat bhar chaand ke humraaz fira karte the,
Dekh kar jo chup-chaap guzar jaate hain,
Kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the.
Iss kadar gam ne hume loota hai,
aansoo tak ne humara sath choda hai,
sabhi hai bedard yaha zamane mein,
jise dil me bsaya usi ne dil toda hai.
Har khushi chin li hai zamane ne,
mujhe thukra diye mere hi aashiyane ne,
ujhad gaya hai hasrato bhara chaman,
mujhko tadpaya hai apne-begano ne.
Dosti ki mehfil saje zamana ho gaya,
Lagta hai khul ke jiye zamana ho gaya,
Kash kahin mil jaye woh kafila DOSTO ka,
Apno se bichde zamana ho gaya..
Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota,
Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota?
Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo,
Fakat Uss Aadmi Se Yeh Zamana Kam Nahi Hota.
Kisi ke dil mein basna bura to nahi,
Kisi ko dil mein basana khata to nahi,
Hain ye zamane ki nazar me bura to kiya hua,
Zamane wale bhi insan hai khuda to nahi.
Mujhe Is Baat Ka Gum Nahi Ki…
Badal Gaya Zamana,
Meri Zindagi To Sirf Tum Ho,
Kahi Tum Na Badal Jana.
Pyar Pyar se dur hota ja raha hai,
Pyar Pyar se majbur hota ja raha hai,
Matlab nikalane ke liye har koi Pyar karta hai,
Yeh zamane ka dastoor hota ja raha hai..!!