Zakham Inne Gehre Izhaar Ki Kariye,
Asi Khud Nishana Ban Gaye Varr Ki Kariye,
Dil Kad K Tere Kadma Ch Rakh Dita,
Hun Tu Hi Das Is To Wad Tera Satkar Ki Kariye.
Diye Hain Zakham Toh Marham Ka Takaluf Na Karo,
Kuch Toh Rehnay Do Meri Zaat Pe Ehsan Apna.
Ajeeb Tarha Se Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Ghulta Hon Har Khushi Ke Liye,
Woh Mujh Ko Chor Kar Gaya To Phir Yaqeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs Zarori Nahin Kisi Ke Liye.
Phulon Kii Aarzu Mein Bade Zakhm Khaaye Hain,
Lekin Chaman Ke Khaar Bhii Ab Tak Paraaye Hain,
Us Par Haraam Hai Gam-E-Dauraan Kii Talkhiyaan,
Jisake Nasiib Men Terii Zulfon Ke Saaye Hain,
Mahashar Men Le Gaii Thii Tabiyat Kii Saadagii,
Lekin Bade Khuluus Se Ham Laut Aaye Hain,
Aayaa Huun Yaad Baad-E-Fanaa Unako Bhii ‘Adam’,
Kyaa Jald Mere Siikh Pe Imaan Laaye Hain.
Umar Kya Kahu Kafi Nadan Hai Meri,
Sabko Pyar Dena Pahchan Hai Meri,
Apka Dil Zakhmo Se Bhara Ho To Humse Milo,
Dilo Ko Repair Karne Ki Dukan Hai Meri.
Dosti Ka Hum Farz Ada Karte Hai,
Aapke Naam Pe Jaan Fida Karte Hai,
Aapko Phool Se Bhi Zakham Na Aaye Kabhi,
Khuda Se Hum Sirf Ye Dua Karte Hai.
Zakham Nasoor Huwe, Ilaaj-E-Dard Mumkin Na Huwa,
Ashq Bahaane Ka Mera Silsila Bhi Dekho Kam Na Huwa,
Mujhe Hairat Huwee Apne Zakhmon Ko Dekh Kar Kyun Ki,
In Masoomo’n Ke Liye Ab Tak, Koi Ejaad-E-Marham Na Huwa.
Bhulaakar Hume Woh Khush Reh Paayenge,
Saath Me Nahin Toh Mere Jaane Ke Baad Muskuraayenge,
Duva Hai Khuda Se Ke Unhe Kabhi Zakhm Na De,
Hum Toh Seh Gaye, Par Who Toot Jaayenge.
Churi Ki Nok Se Zakhmo Pe Wo Marham Lagate Hain,
Zkham Bhi Khud He Dete Hain Khud He Aansu Bhate Hain,
Ye Kaisa Pyar Hai Unka Koi To Hmko Smjhao,
Sitmgar Hain Ya Hain Dilbar Hain Wo Jo Yad Ate Hain.
Ye haqiqat hai ki hota hai asar baton mein,
tum bhi khul jaoge do char mulaqaton mein,
tum se sadiyonki vafaon ka koi nata na tha,
tum se milane ke lakiren thi mere hathon mein,
tere vadon ne hamen ghar se nikalne na diya,
log mausam ka maza le gaye barasaton mein,
ab na suraj na sitare na shaman na chand,
apne zakhmon ka ujala hai ghani raton mein.
Wo Hamein Bhool Bhi Jayen To Koi Gum Nahi Hai,
Jana Unka Jaan Jane Se Km Nahi Hai,
Jane Kaise Zakham Diye Hain Usne Is Dil Ko???
Ki Jiske Liye Sb Vaid Kehte Hain Ki Koi Marham Nahi Hai..
Mere Zakhmo Ka Ilzaam Unpar Kabhi Lagaya Hi Nahi,
Kasoor Tu Apna Tha Jo Bin Bataye Hi Unhe Apna Maan Baithe.
Zindagi Zakhmo Se Bhari Hai,
Waqt Ko Marham Banana Seekh Lo,
Harna Tu Mout Ke Saamne Hai,
Filhaal Zindagi Se Jeetna Seekh Lo..
Humein Aankhon Se Zakhmo Ko Dhona Nahi Aata,
Milti Hai Khushi Tu Use Khona Nahi Aata,
Seh Lete Hain Har Gum Muskurakar,
Aur Log Kahete Hain K Hume Rona Nahi Aata.
Shiddat-E-Dard Se Sharminda Nahi Meri Wafa,
Jin Se Dosti Gehri Ho, Woh Zakham Bhi Gehra Dete Hain.
Waqt Badla Or Badli Si Kahani Hai,
Sang Mere Haseen Paloon Ki Yaad Purani Hai,
Na Lagao Mere Zakhmo Pe Marham,
Mere Pass Unki Bus Yehi Nishani Hai.
Sab Phoolon Ki Juda Kahani Hai,
Khamoshi Bhi Tu Pyar Ki Nishani Hai,
Na Koi Zakham Hai Fir Bhi Aisa Ehsas Hai,
Yun Mahsoos Hota Hai Koi Aj Bhi Dil Ke Paas Hai.
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jate Hain,
Zakhmo Ko Sina Bhool Jate Hai,
Tu Zindagi Mein Sab Se Aziz He Humein,
Hum Tere Sath Hote He Tu Pina Bhool Jate Hai.
Chahe Tujhe Hum Jaan Se Zyada,
Tune Diye Zakhm Pyar Se Zyada,
Humne Teri Aankhun Mein Dekha,
Inkaar Mile Iqrar Se Zyada
Bahut Zakhm Khaye Phir Bhi Na Toote Hum,
Sirf Teri 1 Khamoshi Sy Hum Kiyun Bikhar Gaye.