Shayari On Zakhm - Hindi Shayari

Zakham Jab Mere Seene K Bhar Jayenge

Zakham Jab Mere Seene K Bhar Jayenge,
Aansu B Moti Bankar Bikhar Jaeenge,
Ye Mat Puchna Kis Kis Ne Dard Diya,
Warna Kuch Apno Ke Bhi Chehre Utar Jayenge.

zakham-jab-mere-seene-k-bhar-jayenge

Barbad Kar Geya Wo Zindagi

Barbad Kar Geya Wo Zindagi Pyar K Nam Se,
Bewafai Mili Sirf Wafa K Nam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diye Usne Dawa K Nam Se,
Khud Bhi Ro Para Wo Meri Mohabat Ke Anjam Se.

barbad-kar-geya-wo-zindagi

Kon Kise Dil Me Jagah Deta Hai

Kon Kise Dil Me Jagah Deta Hai,
Ped Bhi Sukhe Patte Gira Deta Hai,
Waakif Hai Hum Duniya Ke Rivaajo Se,
Jo Bhi Milta Hai Ek Naya Zakhm Deta Hai.

kon-kise-dil-me-jagah-deta-hai

Main Zakhm Zakhm Hoon Ja Kar

Main Zakhm Zakhm Hoon Ja Kar Miloon Kis Se,
Namak Se Tar Kapre Yahan Sab Pehne Hue Hain.

main-zakhm-zakhm-hoon-ja-kar

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye,
Dushmano Ki Bhi Raae Li Jaye,

Maut Kaa Zahar Hai Fizaaon Men,
Ab Kahaan Jaa Ke Saans Li Jaye,

Bas Isi Soch Men Huun Duubaa Huaa,
Ye Nadii Kaise Paar Ki Jaye,

Mere Maazii Ke Zakhm Bharane Lage,
Aaj Phir Koi Bhuul Ki Jaye,

Botalen Khol Ke To Pi Barason,
Aaj Dil Khol Ke Bhi Pi Jaye.

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye

Kisi Dil Kusha Si Pukar Se Ussi Ek

Kisi Dil Kusha Si Pukar Se Ussi Ek Bad-E-Bahar Se,
Kahi Barg Barg Namu Mili, Kahi Zakhm Zakhm Hara Huwa.

kisi-dil-kusha-si-pukar-se-ussi-ek

Bagair Jane Pehchane Ikrar Na Kijiye

Bagair Jane Pehchane Ikrar Na Kijiye,
Muskurakar Dilko Bekarar Na Kijiye,
Phool Bhi De Jaate Hai Zakham Gehra Kabhi Kabhi,
Har Phool Pe Yun Aitbaar Na Kijiye.

bagair-jane-pehchane-ikrar-na-kijiye

Ae Zindagi Tu Kyon Meri Tamannayi Hai

Ae Zindagi Tu Kyon Meri Tamannayi Hai,
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai,
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang,
Mere Paas Bas Ab Zakham Aur Roosvai Hai.

ae-zindagi-tu-kyon-meri-tamannayi-hai

Kaanch Chubne Toh Zakhm

Kaanch Chubhe Toh Zakhm Reh Jaate Hai,
Dil Toote Toh Armaan Reh Jaate Hai,
Lagaa Toh Deta Hai Waqt Marham Iss Dil Par,
Phir Bhi Umr Bhar Nishaan Reh Jaate Hai.

kaanch-chubne-toh-zakhm

Kya Hai Ye Rishte, Ek Dhoka Hi To Hai

Kya Hai Ye Rishte, Ek Dhoka Hi To Hai,
Nadan Dilko Behlaneka Ek Samjhota Hi To Hai,
Rishte Ke Naampe Roz Dil Tutte Hai Yahan,
Kehneko Pyar Hai Par Gehra Zakham Hi To Hai.

kya-hai-ye-rishte-ek-dhoka-hi-to-hai

Apne Hathon Se Chiraghon Ko

Apne Hathon Se Chiraghon Ko Bujane Lag Jaien,
Tum To Kehte Ho K Hum Tikane Lag Jaien,

Os Ko Sochein To Rag-E-Jan Se Bhi Nazdeek Hai Wo,
Aor Dhondein To Kae Zamane Lag Jaien,

Hum Iss Aas Pe Bethe Hain Shikisht-E-Khayal,
Ain Mumkin Hai K Wo Ehd Nabhane Lag Jaien,

Mana K Zakhim Judai Ka Bohat Gehra Hai,
Aor Aisa Bhi Nahin Hai K Hum Dikhane Lag Jaien.

apne-hathon-se-chiraghon-ko

Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai

Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai,
Zakham De Kar Pochte Hain Ab Haal Kaisa Hai?
Kisi Aik Say Gila Kiya Karna Yaaro,
Saari Duniya Ka Mizaaj Aik Jaisa Hai.

zakham-dene-ka-andaz-kuch-aisa-hai

Mohabbat Mein Laakhon Zakham

Mohabbat Mein Laakhon Zakham Khaye Humne,
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi,
Mat Pucho Kya Gujarti Hai Dil Par,
Jab Vo Kehte Hai Hame Tumse Pyar Nahi..

mohabbat-mein-laakhon-zakham

Waqt Ke Is Mor Par Yeh Kaisa

Waqt Ke Is Mor Par Yeh Kaisa Waqt Aya Hai,
Zakhm Iss Dil Ka Zubaan Par Aaya Hai,
Nahi Rote The Hum Kanton Ki Chubhan Se,
Aaj Phoolo Ki Chubhan Ne Hume Rulaya Hai.

waqt-ke-is-mor-par-yeh-kaisa

Ek Din Mere Dil Ko Jalan De Gaya

Ek Din Mere Dil Ko Jalan De Gaya,
Zindagi Mujhe Jeene Ka Kafan Dey Gaya,
Lakhon Pholo Mai Se Ek Phol Chuna Humne,
Jo Kanton Se Gehri Chuban Dey Gaya.

ek-din-mere-dil-ko-jalan-de-gaya

Dil Ke Zakham Dikhaye

Dil Ke Zakham Dikhaye Nahi Dete,
Gam Ke Aansu Mai Pee Jaata Hoo,
Teri Yad Dil Se Bhulaie Nahi Jati,
Eshaliya Har Shal Giriting De Jataa Hoo.

dil-ke-zakham-dikhaye

Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai

Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai Dard Sehne Ki,
Apne Hi Zakhmo Me Dub Kar Rehne Ki,
Khamosh Tanhai Me Ab Dil Lagta Hai,
Na Pukare Koi, Nigah Uthanese Bhi Dil Darta Hai.

ab-to-aadat-si-ho-gayi-hai

Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi

Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai,
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti.

kuch-zakhm-sadiyoun-baad-bhi

Humari Aankhoon Mein Ansoo

Humari Aankhoon Mein Ansoo Ho To Kya Ho?
Woh Hum Se Khafa Ho Jayen To Kya Ho?
Hum Duniya Waloon Se Chup To Nahi Sakte,
Magar Apne Hi Zakhm Dein To Kya Ho?

humari-aankhoon-mein-ansoo

Wo Tu Khushboo Hai Huwaoon Mein

Wo Tu Khushboo Hai Huwaoon Mein Bikhar Jayega,
Masla Phool Ka Hai Phool Kidher Jayega,
Hum Tu Samjhay Thay Ik Zakhum Hai Bher Jayega,
Kya Khaber The Rugh E Jaan Mein Utter Jayega.

wo-tu-khushboo-hai-huwaoon-mein