Yaad Shayari - Page 6 - Hindi Shayari

Khamoshiyo Me Chupi Koi Baat Hoti Hai

Khamoshiyo me chupi koi baat hoti hai,
Jaise dil me chupi jazbaat hoti hai,
Par khamoshiyan bhi jab pyari lagne lage,
Teri yaadon me doobi aisi har raat hoti hai.

khamoshiyo-me-chupi-koi-baat-hoti-hai

Hichkian Dilakar Hamari Ulfat Kyon

Hichkian dilakar hamari ulfat kyon badha rahe ho,
bas itna bata do yaad kar rahe ho ya yaad aa rahe ho.

hichkian-dilakar-hamari-ulfat-kyon-badha-rahe-ho

Raat Ki Khamoshi Raas Nahi Aati

Raat Ki Khamoshi Raas Nahi Aati,
Meri Parchaayi Bhi Ab Mere Paas Nahi Aati,
Aati Hai Toh Bus Aapki Yaad,
Jo Aakar Ek Pal Bhi Mujhse Door Nahi Jaati.

raat-ki-khamoshi-raas-nahi-aati

Khushboo Teri Yaari Di Saanu

Khushboo teri yaari di saanu mehka jaandi hai,
Teri har ik kitti hoyi gal saanu behka jaandi hai,
Saah taan bahut dar lag aande ne aun -jaan vich,
Har saah ton pehle teri yaad aai jaandi hai.

khusboo-teri-yaar-di-saanu-mehka-jaandi-hai

Dur Chale Gaye Hamare Chahne Wale

Dur chale gaye hamare chahne wale,
ruth gaye hume manane wale,
ab to hichkiya bhi humse puchti hai,
ki kaha gaye tujhko roj yaad karne wale.

dur-chale-gaye-hamare-chahne-waale

Uski Chahat Ne Rulaaya Bahot Hai

Uski chahat ne rulaaya bahot hai,
Uski yaadon ne tadpaya bahut hai,
Hum unse bahut pyar karte hai,
Iss majburi ko usne aazmaya bahut hai.

uski-chahat-ne-rulaaya-bahot-hai

Sitare Chahte Hain Ki Raat Aye

Sitare chahte hain ki raat aye,
ham kya likhen ki aapka jawab aye,
Sitaro ki chamak to nhi mujhme,
ham kya karen ki aapko hamari yaad aye.

sitare-chahte-hain-ki-raat-aye

Kal Tak Tanha The

Kal tak tanha the,
aaj intzar karte hai,
kal tak kuch na tha,
aaj aitbaar karte hai,
yu hi nahi aati aapko hichkiya,
hum yaad aapko baar baar karte hai.

kal-tk-tanha-the-aaj-intezar-karte-hai

Kisi Ki Yaad Dil Me Aaj Bhi Hai

Kisi Ki Yaad Dil Me Aaj Bhi Hai,
Bhul Gaye Wo Par Pyar Aaj Bhi Hai,
Hum Khush Rahne Ka Dawa To Karte Hai Par,
Unki Yaad Me Behte Aansu Aaj Bhi Hai.

kisi-ki-yaad-dil-me-aaj-bhi-hai

Yaad Aati Hai To Kho Jate Hai

Yaad aati hai to kho jate hai,
Aansu ankhon me utar aye to ro jate hai,
Neend nahi aati aankhon me lekin,
Aap sapno me avoge ye soch ka so jate hai.

yaad-aati-hai-to-kho-jate-hai

Eh Hichkiya Kyun Mujhe Aane Lagi Hain

Eh hichkiya kyun mujhe aane lagi hain,
fizao se bhee siskiya aane lagi hain,
yeh soch kar dil hain bahut khus kii,
yaad hamari bhii kisi ko aane lagi hain.

eh-hichkiyo-kyun-mujhe-aan-lagi-hai

Shikwa Kisi Ka Na Fariyaad Kisi Ki

Shikwa Kisi Ka Na Faryaad Kisi Ki,
Honi Thi Youn Hi Zindagi Barbad Kisi Ki,
Ehsaas Mita Aur Miti Sari Ummiden,
Sab Mit Gaya Par Na Miti Yaad Kisi Ki.

shikha-kisi-ka-na-faryaad-kisi-ki

Dard-E-Fitrat Ne Itna Barbad Kiya

Dard-e-Fitrat ne itna barbad kiya,
Teri yaadon ke Siwa aur kuch na yaad kiya,

Zindagi kr na Saki is dard ka ilaj,
Sukoon tab tab Mila jab jab tujhe yaad kiya.

dard-e-fitrat-ne-itna-barbaad-kiya

Hichkiya Aane Se Ek Baat Ka

Hichkiya aane se ek baat ka to ehsaans hua,
ki aap hume roz yaad karti hain,
milne nahi aati to kya hua,
phone par to baat karti hain.

hichkiya-aane-se-ek-baat-ka-to-ehsaans-hua

Ek Teri Yaad Hai Jo Dhadakti Hai Yahan

Ek teri yaad hai jo dhadakti hai yahan,
Warna is Seena-E-Veeran main rakha kya hai.

Tere hi dam se aabad hai duniya meri,
Tu nahi to is jahan main rakha kya hai.

Jo main zinda hoon to ye pyaar hai tera,
Warna is Rooh-E-Bejaan main rakha kya hai.

ek-teri-yaad-hai-jo-dhadakti-hai-yahan

Teri Yaadon Ko Seene Se Laga Rakha Hai

Teri yaadon ko seene se laga rakha hai,
Tanhai me mar na jaoun kafan sila rakha hai,
Jab log dafnayen to pehle dil ko nikal laina,
Kahin wo na dab jaaye jisi dil me basa rakha hai.

teri-yaadon-ko-seene-se-laga-vakha-hai

Hichkiya Dila Kar Ye Kaisi

Hichkiya dila kar ye kaisi uljhan badha rahe ho,
Ankhe band hai fir bhi nazar aa rahe ho,
bas itna bata do humein, yaad kar rahe ho,
ya apni yaad dila rahe ho.

hichkiyo-dil-kar-ye-kaisi-uljhan-badha-rahe-hai

Aisa Nahi Ki Aap Yaad Aate Nahi

Aisa nahi ki aap yaad aate nahi,
Khataa sirf itni hai ki hum bataate nahi,
Rishta aapka anmol hai hamare liye,
Samajhte ho aap isliye hum jatate nahi.

aisa-nahi-ki-aap-yaat-aate-nahi

Ishq Paane Ki Tamanna Mein Sanam

Ishq Paane Ki Tamanna Mein Sanam,
Zindagi Barbad Banker Reh Gayi,
Jis Surat Ko Dil Mein Basaya Tha Kabhi,
Aaj Woh Surat Ek Yaad Bankar Rah Gayi.

ishq-paane-ki-tamana-mein-sanam

Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum

Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye,
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye,
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko,
Hui Jab Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye.

nikli-mohabbat-ki-baat-to-tum-yaad-aa-gaye