Har Subah Teri Muskurati Rahe,
Har Sham Teri Gungunati Rahe,
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile,
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe.
Wo hume bhulane ki baat karte hain,
Zara pucho hume kitna Yaad karte hain,
Chehre pe hansi ka dikhawa hai,
Magar Tanhai me Aansuo se fariyad karte hain.
Hasi Ke Raste Pe Chala Karo,
Khushiyo Ki Mahak Liya Karo,
Pyar Se Dilon Ko Chuha Karo,
Jahan Tumhe Gum Nazar Aaye,
Is Nacheez Ko Yaad Kiya Karo.
Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!
Raat palkein jhapki to ek haseen khwaab aa gaya,
Apke pyar ka mehekta gulab aa gaya,
Do pal aap bhi yaad kar liya karo humein,
Aankhe khule to aapki yaad mein aansuo ka sailab aa gaya.
Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho,
ki har pal tum hi yaad aao.
Aaj bhigi hai palke kisi ki yaad me,
aakash bhi simat gaya hai apne aap me,
oas ki boonde aisi giri hai jameen per,
maano chand bhi roya ho unki yaad me.
कितनी खुबसूरत सी हो जाती है उस वक्त दुनिया,
जब अपना कोई कहता है कि “तुम याद आ रहे हो”
Hasin palon ko fir se abaad kar rahe the,
khuda se aapki hi baat kar rahe the,
Bada sakun mila jab khuda ne bataya ki,
aap bhi hame hi yaad kar rahe the.
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,
Aye jaan
Apni yadoon se kahoo ke na aaya karain,
Neend aati bhi nahi raat guzar jati hai.
Kabhi tum mujhe kareeb se aa ke dekna,
Aise nahi jara aur paas aa ke dekhna,
Main tum se kitna pyar karta hoon,
Mujhe kabhi seene se laga kar dekhna,
Main tujhe ashko ki kataar me najar aaunga
Meri yaad main kabhi aansu baha ke dekna,
Meri ghazal pad kar bhi tum par asar na ho,
Toh logo ko meri ghazal suna ke dekhna.
Ye choti si yaad bada sila degi,
Gulab ki tarah apka chehra khila degi,
Mat chhodna kabhi humari yado ko,
Ye yaad khud apko humse mila degi.
Saans Tham Jati Hai Per Jaan Nahi Jaati,
Dard Hota Hai Per Aawaj Nahi Aati,
Ajeeb Log Hai Is Zamaane Mein,
Koi Bhul Nahi Pata Aur Kisiko Yaad Nahi Aati.
Wo aayi nahi kabhi mujhe yaad karke,
Wo gayi jab bhi mujhe barbaad karke,
Agar wo aaye meri maut pe to use kah dena,
Abhi soya hai tujhe yaad karke.
Chand par kali ghata chati to hogi,
Sitaro ko muskurahat aati to hogi,
Tum lakh chipawo duniya se magar,
Akele mein tumhe hamari yaad aati toh hogi
Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge,
Waqt Ke Sath Shayad Hum Na Honge,
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena,
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge.
Yaad karne se kisi ka didar nhi hota,
Yuhi kisi ko yaad karna pyar nhi hota,
Yaadon mai kisi ki hum bhi tadpte hain,
Bas hum se dard ka izhaar nhi hota.
Soch kar apke bare me muskurate hai hum,
sabko ap ki khani sunate hai hum,
Jis waqt yad karte hai apko,
us waqt sari duniya ko bhul jate hai hum.
Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain,
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain,
Phir Us Ke Pyaar Ki Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain,
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain.
Mohabbat Ki Hawa Jism Ki Dawa Ban Gayi,
Doori Aapki Meri Chahat Ki Saza Ban Gayi,
Kaise Bhoolun Aapko Ek Pal Ke Liye,
Aapki Yaad Hamare Jeene Ki Wajah Ban Gayi.