Yaad Shayari - Page 4 - Hindi Shayari

Kash Phir Milne Ki Wo Wajah Mil Jaye

Kash phir milne ki wo wajah mil jaye,
Saath jitna bhi bitaya wo pal mil jaye,
Chalo apni apni ankhein band kar lein,
Kya pata khwabo main gujra hua kal mil jaye.

kash-phir-milne-ki-wajah-mil-jaye

Sochta Hu Dil Ke Armaan Bhej Du

Sochta hu dil ke armaan bhej du,
Duaon me apni tumhara naam bhej du,
Din khila or dil ko tum yaad aaye,
To socha k pyara sa salaam bhej du.

sochta-hu-dil-ka-armaan-bhej-du

Yaad Karte Hain Tumhe Tanhai Mein

Yaad karte hain tumhe tanhai mein,
Dil dooba hai gamo ki gehrai mein,
Hume mat dhoondna duniya ki bheed mein,
Hum milenge tumhe tumhari parchai mein.

yaad-karte-tumhe-tanhai-mein

Logon Ki Bheed Mein Toh Maalum

Logon Ki Bheed Mein Toh Maalun Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.

logon-ki-bheed-mein-toh-maahun-nahi-hota

Raat Ke Andhere Mein Sara

Raat Ke Andhere Mein Sara Jahan Sota Hai,
Lekin Kisi Ke Yaad Mein Ek Dil Rota Hai,
Khuda Kare Ki Kisi Par Koi Fida Na Ho,
Agar Ho To Maut Se Phele Juda Na Ho.

raat-ke-andhere-mein-sara-jahan-sota-hai

Aap Ka Ashiyana Dil Mein Basaya Hai

Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
Apki yadon ko seene se lagaya hai,
Pata nahi yaad aapki hi kyon aati hai,
Dost to hamne auron ko bhi banaya hai.

aap-ke-sahiyan-dil-main-karaye-hai

Khubsurat Hai Zindagi

Khubsurat Hai Zindagi, Khuwab Ki Tarha,
Jane Kab Tut Jae, Kanch Ki Tarha,
Mujhe Na Bhulna Kisi Baat Ki Tarha,
Apne Dil Me Hi Rakhna Khubsurat Yaad Ki Tarha.

khubsurat-hai-zindagi-khwab-ki-tarha

Dil Ne Hume Deewana Bana Diya

Dil Ne Hume Deewana Bana Diya,
Roye Na They Kabhi Aapne Rula Diya,
Humne Har Waqt Yaad Kiya Aapko,
Lekin Aapne Yaad Karne Mein Zamaana Laga Diya.

dil-ne-hume-deewana-bana-diya

Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad

Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai,

Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai,

Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai.

muusam-hai-barish-ka-aur-yaad-tumhari-aati-hai

Mai Apni Chahaton Ka Hissa

मैं अपनी चाहतों का हिस्सा जो लेने बैठ जाऊं,
तो सिर्फ मेरा याद करना भी ना लौटा सकोगे..

Humne Kab Tumse Mulakaat Ka

Humne Kab Tumse Mulakaat ka wada Chaha,
Dur rehkar to tumhe aur bhi jyada chaha,
Yaad aaye mujhe aur bhi siddat se Tum,
Bhulne ka Tumhe jab bhi Irada Chaha.

humne-kab-tumse-mulakaat-ko-wada-chaha

Yaadon Ko Teri Hamne Khone Na Diya

Yaadon ko teri hamne khone na diya,
Ghamo ne bhi chup hone na diya,
Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya.

yaadon-ko-teri-hamne-khone-na-diya

Lakh Chahta Hoon Ki Tujhe

लाख चाहता हूँ कि तुझे याद ना करूँ,
मगर, इरादा अपनी जगह बेबसी अपनी जगह…।

Pyar Chupta Nahin Aankhon Chupane Se

Pyar chupta nahin aankhon chupane se,
Dil rukta nahi kisi ko samjhane se,
Ruk jati hai dhadkane tujhe bhool jaane se,
Hum tumhe yaad karte hai jeene ke bahane se.

pyar-chupta-nahin-aankohn-chupana-se

Dil Dhadakne Ka Sabab Yaad Aaya

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya,
Woh teri yaad the ab yaad aaya,
Badi mushkil se din guzara tha,
Phir tere wada-e-shab yaad aaya,
Baith kar saya-e-gul main Nasir,
Hum bohat roye woh jab yaad aaya.

dil-dhadakne-ko-sabab-yaad-aaya

Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai

Kabhi Ek Lamha Aisa bhi Aata Hai,
Jisme beeta Hua kal Nazar ata Hai,
Bas Yaadein Reh Jati Hai Yaad krne K Liye,
Aur Waqt Sab Kuch Leke Guzar Jata Hai !!

kabhi-ek-lamha-aisa-bhi-aata-hai

Aasman Ko Neend Aaye To Sulaye Kaha

Aasman ko neend Aaye to sulaye kaha,
dharti ko mot Aaye to dafnae kaha,
Aur hame tumhari yaad Aaye to JAAN jaye kahan.

aasman-ko-neend-aaye-to-sulaye-kaha

Kyon Tujhi Ko Dekhna Chahti Hain

Kyon tujhi ko dekhna chahti hain meri aankhein,
Kyon khamoshiyaan karti bas hain teri baatein,
Kyon itna chahane laga hoon tujhko main,
Ki taare ginte huye kat-ti hain meri raatein,
Tu hi kuchh bata de kya main karoon inka,
Har pal jo mujhe tadpaati hain teri yaadein.

kyun-tujko-dekhna-chahti-hai-meri-aankhein

Koi Chala Gaya Door To Kya Karein

Koi Chala Gaya Door To Kya Karein,
Koi Mita Gaya Sab Nishan To Kya Karein,
Yaad Aati Hai Ab Bhi Unki Hume Had Se Jyada,
Wo Yaad Na Kare To Kaya Kare.

koi-chala-gaya-door-to-kya-karein

Kitne Chehre Hai Duniya Me Magar

Kitne Chehre Hai Duniya Me Magar,
Humko Ek Chehra Nazar Ata Hai,
Duniya Ko Ab Hum Kya Yaad Kare,
Apki Yaado Me Sara Waqt Guzar Jata Hai.

kitne-chehre-hain-duniya-me-magar