Sau Sau Ummeeden Bandhti Hain Ik Ik Nigaah Par,
Mujh Ko Na Aise Pyaar Se Dekhaa Kare Koi.
Yoon To Har Shaam Ummeedon Pe Guzar Jaati Thi,
Aaj Kuchh Baat Hai Jo Shaam Pe Ronaa Aayaa.
Na Jaane Kis Liye Ummeed Vaar Baitha Hoon,
Ik Aisi Raah Pe Jo Teri Rah-Guzar Bhi Nahin.
Chheen Gai Aakhiri Umeed Bhi Dil Se “Ashaar”,
Ye Sahaara Hai Ki Ab Koi Sahaara Na Rahaa.
Bas Ab To Daaman-E-Dil Chhod Do Bekaar Ummeedo,
Bahut Dukh Sah Liye Main Ne, Bahut Din Jee Liya Main Ne.
Hum wafaen kar k rakhte hain wafaon ki umeed,
Dosti me is qadar soda gari bhi juram hai.
Lo Aaj Ham Ne Tod Diyaa Rishtaa-E-Ummeed,
Lo Ab Kabhi Gilaa Na Karenge Kisi Se Ham.
Bahut Taveel Shab-E-Gham Hai Kyaa Kiyaa Jaaye,
Ummeed-E-Subah Bahut Kam Hai Kyaa Kiyaa Jaaye.
Tum Aise Kaun Khudaa Ho Ki Umar Bhar Tum Se,
Ummeed Bhi Rakkhoon Naa-Ummeed Bhi Na Rahoon.
Yahi bahot hai k to ne palat k dekh liya,
Ye lutaf bhi meri umeed se zyada hai.
Mit Chale Meri Ummeedon Ki Tarah Harf Magar,
Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushboo Na Gayi.