Kaash Is Dil Ki Aawaz Mein Itna Asar Ho Jaye,
Hum Aapko Yaad Karein,Aur Khabar Ho Jaye,
Khuda Se Maangte Hain Ki Aap Jise Bhi Chaho,
Wo Zindagi Ki Raah Mein Apka Humsafar Ho Jaya.
Khalvat-E-Ummeed Mein Raushan Hai Ab Tak Vo Chiraagh,
Jis Se Uthtaa Hai Qareeb-E-Shaam Yaadon Kaa Dhuaan.
Kehte Hain Ummeed Pe Jeetaa Hai Zamaana,
Vo Kyaa Kare Jis Ko Koi Ummeed Nahin Hai.
Ummeed To Bandh Jaati Taskeen To Ho Jaati,
Vaadaa Na Vafaa Karte Vaadaa To Kiyaa Hotaa.
Ummeed-E-Shifaa Bhi Nahin Beemaar Ko Tere,
Allaah Se Maayoos Huaa Bhi Nahin Jaataa.
Sambhalne De Mujhe Ai Naa Ummeedi Kya Qayaamat Hai,
Ki Daamaan-E-Khayaal-E-Yaar Chhoota Jaaye Hai Mujh Se.
Koi Ummeed Bar Nahin Aati,
Koi Surat Nazar Nahin Aati.
Kahte Hain Jeete Hain Ummeed Pe Log,
Ham Ko Jeene Ki Bhi Ummeed Nahin.
Hamen Phir Un Se Ummeed Aur Unhein Hamaari Qadar,
Hamaari Baat Hi Poochhen Na Vo, To Kyonkar Ho.
Rahi Na Taaqat-E-Guftaar Aur Agar Ho Bhi,
To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarazoo Kyaa Hai.
Kam Se Kam Maut Se Aisi Mujhe Ummeed Nahin,
Zindagi Tune To Dhoke Pe Diyaa Hai Dhokaa.
Na Koi Vaada Na Koi Yaqeen, Na Koi Ummeed,
Magar Hamen To Teraa Intazaar Karnaa Thaa.
Ek Tum Hi Se Umeed Ki Hai Mere Khuda,
Der Na Kar Jara Unse Zaldi Mila,
Yeh Rokar Karte Hain Gujaris Upar Wale,
Kahin Ho Na Jaaye Meri Yeh Zindagi Tabaah.