तुम्हें अपना कहने की तमन्ना थी दिल में,
लबों तक आते आते तुम ग़ैर हो गए !
Ham bhatakte rahe hain rahon mein,
Raat din kaat rahe the aanhon mein,
Ab tamana hui hai mere jeene ki,
Baat kuch to hai teri nigaahon mein.
Ek khwahish hai jhalak mil jaye us chahre ki,
Ki is deedar ke baad koi tamana na rahe.
Kajal Banke Teri Aankho Mein Samane Ki Tamanna Hai,
Dawa Banke Tere Dard Mitane Ki Tamanna Hai,
Yun To Haasil Hai Zamane Ki Har Cheez Mujhe,
Sirf Ek Baar Tujhe Dulhan Ke Roop Mein Paane Ki Tamanna Hai.
Shama-E-Tamanna Jawaan Aaj Bhi Hai,
Har Hasrat Lekin Bezuban Aaj Bhi Hai,
Manzilon Ko Nahi Naseeb Mere Kaafile To Kya,
Rahon Pe Mere Kadmon Ke Nishaan Aaj Bhi Hain.
Koi Nikla Hai Dil Se Tamanna Banke,
Waqt Thehar Chuka Hai Tamasha Banke,
Subah Aur Sham Ke Maikhano Mein,
Rehta Main Kis Qadar Tanha Banke,
Shab-E-Akhir Kashmash Mein,
Jalta Hun Main Parvana Banke,
Waqt Kam Hai Phir Bhi Khayalon Mein,
Uski Gali Se Nikloonga Janaza Banke.
Na Jane Kis Gam Ko Chupane Ki Tamanna Thi Usko,
Aaj Har Ek Baat Per Haste Hue Dekha Usko.
Tamanna dil ki ek hasrat hai,
Puri ho jaye to insan khush kismat hai,
Na puri ho to gam na kar na,
Kyun ki adhuri rahna to tamannao ki fitrat hai.
Yeh Meri Thi Tamanna Koi Mera Bhi Yaar Hota,
Jisko Mere Har Ek Gham Ka Ehsaas Hota,
Jo Rahta Hamesha Mere Sukh Dukh Ka Saathi,
Kaash Mere Bhi Koi Itna Paas Hota.
Dil Ki Dil Se Doori Nahi Hoti,
Kash Koi Majburi Nahi Hoti,
Aap Se Abhi Milne Ki Tamanna Hai,
Lekin Kahte Hain Na Ki Har Tamanna Puri Nahi Hoti.