dukh bhare geet hum phir se gaane lage,
sunne walo ko kuch to sunane lage,
bola tha jisne “tum rona na kabhi”,
unhi ke khone par aansu bahane lage.
Sukh Dukh Aate Jaate,
Yeh Aasu Kabhi Khona Nahi,
Aapne Gham Tum Mujhe De Dena,
Par Tum Kabhi Rona Nahi.
shaqs Kabhi jo Dard Ka Gila Nahi Karte,
Muqddar Mein Jo Na Ho Wo Mila Nahi Karte,
Mat Dekh Kisi Ko hasrat bhari nighao Se,
dil ke bhale Log Kisi Ki Nazron Se Gira Nahi Karte.
Hum jaise tanha logo ka ab rona kya muskurana kya,
Jab chahne wala koi na ho to jeena kya mar jana kya.
wo tere pyaar ka gam ek bahana tha sanam,
apni kismat hi aisi thi ke dil toot gaya,
ye gam na hota to koi aur gam hota,
me to wo hu jise har haal me rona tha.
Kaun chahta hai kisi se DiL lagana,
Magar ye pyar Ek din sabko ho hi jaata hai,
Kaun chahta hai apna DiL dukhana,
Magar ye pyar sabko Rona sikha hi deta hai.
Use udas kar k khud bhi rona tha,
Ye hadsa b kabhi to hona tha,
Wo mujhe todkar phir jodti rahi,
aksar Me uske vaaste jaise koi khilona tha….
Rona pdta hai ek din muskurane k baad,
yaad ate he vo dur jane k baad,
dil to dukhta hi hai uske liye,
jo apna na ho ske mohabbt jtane k baad.
Mehfil Me Hasna Mera Mizaz Ban Gaya,
Tanhai Me Rona ek Raaz Ban Gaya,
Dil Ke Dard Ko Chehre Se Zahir Na Hone Diya,
Yehi Mere jine ka andaz ban gaya.
Waqt K is mod pe ek aisa waqt aya hai,
Zakhm dilka zuban pr aya hai,
N rote the hum kanto ki chuban se Aaj,
n jane kyu phulo ki khusbo se rona aya hai.
Ishq karte the hum,
logo ne nafrt karna sikha diya,
jis chehre ko dekh kar haste the,
usne rona sikha diya,
ham to marna chahte the,
maut k intzar ne jina sikha diya.
Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,
mile jo khushi to use khona nahin aata,
seh lete hain har gam haske,
aur log kehte hain hamen rona nahin aata.
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya,
Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya,
Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham,
Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya.
Hum aapko pakar khona nahi chahte,
aapse juda hokar rona nahi chahte,
hamesha mere sath rehna,
kyunki hum kisi aur ke hona nahi chahte.
Aakho ko bandh karoge to hame dekhoge,
Aakhe khologe to hame hi paoge,
Zindagi me kabhi rona mat varna,
Unn aasuo me bhi hame hi bahaoge.
Dukh Bhare Geet Hum Phirse Gaane Lage,
Sunne Walo Ko Kuch To Sunane Lage,
Bola Tha Jisne “Tum Rona Na Kabhi”,
Unhi Ke Khone Par Aansu Bahane Lage .
Chaar Din Ka Hasna Tha,
Zindagi Bhar Ka Rona Jholi Pa Beithe,
Hum Kahan Zaalim Duniya Ki Baaton Mein Aa Beithe,
Aaj Fir Tdpe Dil Uski Yad Mein Najane,
Kyun Aaj Fir Uski Yad Ke Moti Palko Pe Saja Beithe.
Rona bhi chaho toh woh rone nahi deti,
Woh Shakhs toh palke bhi bhigone nahi deti,
Aati hai khyaalon mein kaun ye aksar?
Jo mujhe kisi aur ka hone nahi deti.
Unke chahre par iss kadar noor hai,
Unki yaad main rona bhi manzoor hai
Bewafa bhi kahe nahi sakte hum unhe,
Pyar to humne kiya tha woh to bekasoor hai.
Meri har khata par naraz na hona,
Apni pyari si muskan kabhi na khona,
Sukoon milta he dekhkar apki muskurahat ko,
Mujhe maut bhi aye to bhi mat rona.