jeene k liye dard ka samaan bohat hai,
kuch roz se apna dil pareshan bohat hai,
milte hain shabo-roz sabhi log hum se,
aik tjh se mulakat ka arman bohat hai.
Chand Kaliyaan Nishaat Ki Chun Kar,
Muddaton Mahv-E-Yaas Rahta Hoon,
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi,
Tujh Se Mil Kar Udaas Rahta Hoon!
Tujh Se Mil Kar Hamein Rona Tha Bahut Rona Tha,
Tangi-E-Vaqt-E-Mulaaqaat Ne Rone Na Diya.
Har Mulaqat Ka Anjaam Judaai Kyon Hai,
Ab To Har Vaqt Yahi Baat Sataati Hai Hamein.
‘Nadeem’ Jo Bhi Mulaqat Thi Adhoori Thi,
Ki Ek Chehre Ke Peechhe Hazaar Chehre Thi.
Dil Men Hai Mulaqat Ki Khwahish Ki Dabi Aag,
Mehndi Lage Haathon Ko Chhupa Kar Kahaan Rakhoon.
Jaane Vaale Se Mulaqat Na Hone Payi,
Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Payi.
Hooron Se Na Hogi Ye Madaaraat Kisi Ki,
Yaad Aayegi Jannat Mein Mulaaqaat Kisi Ki.
Uzr Aane Mein Bhi Hai Aur Bulaate Bhi Nahin,
Baais-E-Tark-E-Mulaaqaat Bataate Bhi Nahin.
Usne Kaha Itni Mulaqat Bahut Hai,
Main Ne Kaha Ruk Jaao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansoo Mere Tham Jaayen To Phir Shauq Se Jaanaa,
Aise Mein Kahaan Jaao Ge Barsaat Bahut Hai.
Kahaan Vo Shokh Mulaqat Khud Se Bhi Na Hui,
Bas Ek Baar Hui Aur Phir Kabhi Na Hui.
Munhasir Waqt-E-Muqarrar Pe Mulaaqaat Huyi,
Aaj Ye Aap Ki Jaanib Se Nai Baat Huyi.
Ye Ek Shab Ki Mulaqat Bhi Ghaneemat Hai,
Kise Hai Kal Ki Khabar Thodi Door Saath Chalo.
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai,
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai,
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye,
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai.
Be-Qaraari Thi Sab Ummeed-E-Mulaqat Ke Saath,
Ab Vo Agli Si Daraazi Shab-E-Hijraan Mein Nahin.
Janu Main Uski Har Ek Baat,
Aaj Bhi Yaad Aati Hai Wo Pehli Mulaqat,
Gujre Wo Lamhe Wo Din Aur Raat,
Yahi To Hai Waqt Ki Mujh Ko Saugaat.
Mainne Mana Ke Mujhe Unse Muhabbat Na Rahi,
Ham-Nashin Phir Bhi Mulaaqaat Se Jee Dartaa Hai.
Tare Asman Me Chamkte Hain,
Badal Itni Dur Hai Fir Bhi Barste Hain,
Hum Bhi Kitne Nadan Hain Aap Dil Me Rehte Hain,
Or Hum Apse Milne Ko Tarste Hai.
Na Jee Bhar Ke Dekhaa Na Kuchh Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi Mulaaqaat Ki.