Shayari On Izhar - Hindi Shayari

Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai

Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai.

har-sham-se-tera-izhaar-kiya-karte-hai

Zakham Itne Gehre Hai

“Zakham Itne Gehre Hai Izhaar Kya Kare,
Hum Khud Nishana Bann Gaye Waar Kya Kare,
Mar Gaye Hum Magar Khuli Rahi Aankhe,
Ab Isse Zyada Unka Intezaar Kya Karee”.

zakham-itne-gehre-hai

Kehne Ko To Ye Khat Kagaz Ki Hai

Kahne ko to ye khat kagaz ki hai,
Mager ye ailaan mere mohabbat ki hai,
Badi shidat se likha hai Ise Izhaar ke waste,
Aye khuda ab thodi jarurat teri Inayat ki hai.

kehne-ko-to-ye-khat-kagaz-ki-hai

Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hain

Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hain,
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehte Hain,
Sirf Paane Ka Naam Ishq Nahin,
Kuch Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hain.

dil-ki-aawaz-ko-izhaar-kehte-hain

Yun To Sapne Bahut Hasi Hote Hai

Yu to sapne bahut hasi hote hai,
par sapno se pyaar nahi karte,
chahate to unhe hum aaj bhi hai,
bas izhar nahi karte.

yun-to-sapne-bahut-hasi-hote-hai

Dil Mera Pyar Ke Qabil Na Raha

Dil mera pyar ke qabil na raha,
koi bhi izhar ke qabil na reha,
is dil main bas gayi dosti aapki,
ab to gulab bhi deedar ke kabil na raha.

dil-mera-pyar-ke-qabil-na-raha

Jisko Chaho Use Chahat Bata Bhi Dena

Jisko Chaho Use Chahat Bata Bhi Dena,
Kitna Pyaar Hai Usse Yeh Jata Bhi Dena,
Yun Na Ho Ki Uska Dil Kahin Aur Lag Jaye,
Karke Izhaar Uske Dil Ko Chura Bhi Lena.

jisko-chaho-use-chahat-bata-bhi-dena

Izhar Mohabbat Ka Kuch Aisa Hua

Izhar Mohabbat Ka Kuch Aise Hua,
Kya Kahein Ki Pyaar Kaise Hua,
Unki Ek Jhalak Pe Nisaar Hue Hum,
Saadgi Pe Mar-Mite Aur Aankho Se Iqraar Hua.

izhar-mohabbat-ka-kuch-aisa-hua

Tere Didar Ki Talab Rakhta Hai

Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha,
Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha,
Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha,
Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon.

tere-didar-ki-talab-rakhta-hai

Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na

Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na,
Aaj Mujh Pe Tum Inayat Kar Do Na,
Zara Chupke Se Khamoshi Se,
Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na.

ek-khwaish-sirhane-rakh-do-na

Ishq Se Kabhi Humne Inkaar Nahi Kiya

Ishq Se Kabhi Humne Inkaar Nahi Kiya,
Par Iss Dil Ko Kabhi Itna Bekarar Nahi Kiya,
Bas Aankhon Mein Unke Sapne Sajaye Rakhe Hain,
Magar Kabhi Humne Honthon Se Ishq Ka Izhar Nahi Kiya.

ishq-se-kabhi-humne-inkaar-nahi-kiya

Humne To Kno Di Thi

Humne To Kho Di Thi Saab Chahat Ki Aas,
Unhone Pyaar-e-Izhrar Karke, Hum Mein Jinne Ki Arzoo Bhar Di.

humne-to-kno-di-thi

Jeevan Mein Ek Baar Sabhi Ne Kiya

Jeevan Mein Ek Baar Sabhi Ne Kiya Hai Pyaar,
Kuch Ne Darr Kar Kuch Ne Josh Mein Kiya Izhar,
Magar Bina Bole Jab Do Dil Keh Jayein Dil Kee Baat,
Wahi Hai Nazar Ka Nazar Se Saccha Iqraar.

jeevan-mein-ek-baar-sabhi-ne-kiya

Kaash Woh Ayein Pyaar Ka Izhaar Karne

Kaash Woh Ayein Pyaar Ka Izhaar Karne, Meri Kabr Par Ik Din,
Phir Mein Bhi Ik Aur Zindagi Ki Duwa Maangu, Unpe Nijhawar Karne Ke Liye.

kaash-woh-ayein-pyaar-ka-izhaar-karne

Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand

Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand Rusvayi To Hai,
Par Karun Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai.

ishq-ke-izhaar-mein-har-chaand

Hum Chahat Ke Afsaane Likhte Rahe

Hum Chahat Ke Afsaane Likhte Rahe,
Woh Bhi Humein Durr Se Takte Rahe,
Jab Humne Izhar Karne Ko Haath Thama,
To Mehndi Se Ranga Unka Haath Paya.

hum-chahat-ke-afsaane-likhte-rahe

Logo Se Sunte The Mohabbat Ke Afsaane

Logo se sunte the Mohabbat ke Afsaane
Khawab Humne bhi dekhe the Suhaane,
Pyaar kya hai ?
Hum aksar sochte the
Es Baat se Hum apne Dil ko rokte the
Lekin ab Tumhe es Dil mein basa kar
Ye Khata ek baar karna chahta hain
Yeh Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Izhaar karna chahta hai

logo-se-sunte-the-mohabbat-ke-afsaane

Aankh Rakhte Ho To Us Aankh Ki

Aankh Rakhte Ho To Us Aankh Ki Tehreer Parho,
Munh Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Uss Kee.

aankh-rakhte-ho-to-us-aankh-ki

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai

Nazare mile to pyar ho jata hai,
Palke uthe to izhaar ho jata hai,
Na jane kya kasish hai chahat main,
Ke koi anjaan bhi hamari.
Zindagi ka haqdaar ho jata hai.

nazare-mile-to-pyar-ho-jata-hai

Aaj Muddat Baad Unhone

Aaj Muddat Baad Unhone Mohabbat Ka Izhaar Kiya,
Aur Humne Unmein Raab Ka Deedar Kiya.

aaj-muddat-baad-unhone