“Insaaniyat Woh Ehsaas Hai Jo Humein Duniya Mein Jeena Sikhati Hai.
Neki Aur Imaanadari Ho paas To khuda Tak Le Jaati hai.
Kisi Gareeb Ka Sahara Ban jaao To Labon Par Muskurati Hai.
Kisi Aur Ke Dard Mein Apne Aankhon Se Aansuu Bahati hai”.
फरिश्ते से बेहतर है इन्सान बनना,
मगर इसमें पड़ती है मेहनत ज़ियादा.
jashan-e-insaan shumaarii mein sar ginane nikale ahal-e-hakkam,
murdaa ho ke un kii zaruurat se ham bhii zindo.n me.n shumaar hue.
Kuch Bure Log To Hote Hi Hain Iss Duniya Mein Paida,
Dharam Mazhab Se Pehle,Insaaniyat Ke Kaun Hai Tarafdaar Dekhna.
दुनिया पे ऐसा वक़्त पड़ेगा कि एक दिन,
इन्सान की तलाश में इन्सान जाएगा.
Insaniyat Ko Sooli Chade Huye,
Yahan Ek Zamana Bita Gaya Hai,
Hoton Par Toh Jhoot Hai Lekin,
Haath Mein Dekho Geeta Hai.
मुझे इंसानियत का दर्द भी बख़शा है कुदरत ने,
मेरा मक़सद फ़क़त शोलानवाई हो नहीं सकता.
Mushkil hai daur itna,Aur umar thak gayi,
Ab kis se jakar puchhe,Manzil kidhar gayi,
Insaniyat milegi,Sabne hanste hue kaha
Wah toh kab ki marr gayi.
इंसानियत की बात तो इतनी है शैख़ जी,
बदकिस्मती से आप भी इन्सान बन गए.
Insaniyat insan ko insan bna deti hai,
lagan har mushkil ko aasan bna deti hai,
warna kon jata mandiro me pooja karne,
aastha hi pattharo ko bhagwan bna deti hai.