Shayari On Ehsaas - Page 2 - Hindi Shayari

Mere Nazdeek Aa K Dekh

Mere Nazdeek Aa k Dekh Mere Ehsaas ki Shiddat,
Mera Dil Kitna Dharakta Hai Sirf Tere Naam k Saath,

mere-nazdeek-aa-k-dekh

Ho Sakta Hai Humne Anjane Mein

Ho Sakta Hai Humne Anjane Mein Unhein Rula Diya,
Unhune Dunya Ke Kehne Par Humein Bhula Diya,
Hum To Waise Bhi Aakele The,
Kya Howa Agar Unhein Ehsaas Dila Diya.

ho-sakta-hai-humne-anjane-mein

Door Nigaahon Se Har Baar

Door Nigaahon Se Har Baar Jaya Na Karo,
Dil Ko Bedard Sa Tadpaya Na Karo,
Tum Bin Ek Pal Bhi Ji Nahi Sakte Hum,
Yeh Ehsaas Bar Bar Dilaya Na Karo.

door-nigaahon-se-har-baar-jaye-na-karo

Udas Na Hona Kyun Ke Main

Udas Na Hona Kyun Ke Main Saath Hoon,
Samnay Na Sahi Par Aas Pass Hoon,
Aankhon Ko Band Karo Dil Se Yaad Karo,
Mein Hamesha Aap Ke Liye Ek Ehsas Hoon.

udas-na-hona-kyun-ke-main

Har Dil Ko Kisi Na Kisi Dilbar

Har Dil Ko Kisi Na Kisi Dilbar Ka Intezaar Hota Hai,
Kayi Saari Raahon Se Gujarte Yeh Jeevan Paar Hota Hai,
Har Pal Dil Sapne Bunta Hai Tanhaiyon Ke Saaye Mein, Mohabbat Se Hi To Yaaro Jeene Ka Ehsaas Hota Hai.

har-dil-ko-kisi-na-kisi-dilbar

Yaar Ne Dil Ka Haal Batana Chor Diya

Yaar Ne Dil Ka Haal Batana Chor Diya,
Hum Ne Bhi Gehrai Mein Jana Chor Diya,
Jab Us Ko Hi Dori Ka Ehsaas Nahi,
Hum Ne Bhi Ehsaas Dilana Chor Diya.

yaar-ne-dil-ka-haal-batana-chor-diya

Anjaan Kisi Sathi Ka Iss Dil Ko

Anjaan Kisi Sathi Ka Iss Dil Ko Intezaar Hai,
Pyasi Hain Yeh Aankhein, Dil Beqarar Hai,
Sath Jo Mil Jaye Uska, Har Raah Ho Jaye Asaan,
Issi Ehsaas Ka Naam Shayad Pyar Hai.

In Faslon Ki Fikar Main Kyon Karon

In Faslon Ki Fikar Main Kyon Karon,
Bhala Bahot Door Reh Ke Bhi Mere Paas Hai Koi,
Is Soch Mein Dooba Hai Bahot Dair Se Mera Dil,
Kia Uske Dil Mein Bhi Aisa Ehsaas Hai Koi?

in-faslon-ki-fikar-main-kyon-karon

Kal Tak Tha Ehsaas Kisi Ke Hone Ka

Kal Tak Tha Ehsaas Kisi Ke Hone Ka,
Aaj Hai Sirf Dard Us Ko Khone Ka,
Ham Dono Ka Nahi Tha Qasoor Is Mein,
Taqdeer Ka Faisla Tha Juda Hone Ka.

kal-tak-tha-ehsaas-kisi-ke-hone-ka

Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra

Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah,
Gulab Mein Khushboo Basi Hoti Hai Jis Tarah,
Namaz Parh Li Ho Or Dua Na Mangi Ho,
Aap Ki Kami Mehsoos Hoti Hai Kuch Is Tarah.

basa-hai-ankhoon-main-apka-chehra

Ek Ajab Sa Ehsaas Ho Tum

Ek ajab sa ehsaas ho tum,
kitni door ho phir bhi pas ho tum,
dil lagane ko to bahut mile hume,
par un sabse khas ho tum.

ek-ajab-sa-ehsaas-ho-tum

Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga

Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga,
Tere Sath Guzra Har Lumha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Bhulane Ki Koshish Ki,
Tu Dil Ke Or Kareeb Aane Laga.

teri-doori-ka-ehsaas-jab-satane-laga

Dil Tota Hai Mera Par Aas Nahi

Dil Tota Hai Mera Par Aas Nahi,
Us Ka Ehsas Hai Par Pas Nai,
Judai Ka Dard Zaroor Hai Hum Ko,
Lakin Itna B Khas Nai.

dil-tota-hai-mera-par-aas-nahi

Ek Karb-E-Wafa Musalsal Mujhe

Ek Karb-E-Wafa Musalsal Mujhe Sone Nahi Deta,
Dil Sabar Ka Aadi Kabhi Rone Nahi Deta,
Mein Uska Hoon Yeh Raaz Tu Woh Jaan Gaya Hai,
Wo Kis Ka Hy Ehsaas Ye Hone Nahi Deta.

ek-karb-e-wafa-musalsal-mujhe

Zauq-E-Janoon Ko Had Se

Zauq-E-Janoon Ko Had Se Guzar Jane Do,
Wo Smaitney Aye Ga Humain Bikhar Jane Do,
Abhi Dastras Mai Hun To Ehsas Nahi Usko,
Ro Ro Ke Pukarey Ga Humain Mar Jane Do.

zauq-e-janoon-ko-had-se-guzar-jane-do

Apki Dosti Pe Naaz Hai Humein

Apki Dosti Pe Naaz Hai Humein
Kal Tha Jitna Bharosa Utna Aj Hai Humein!

Dost Woh Nahi Jo Khushi Mein Sath De
Dost Wahi Jo Har Pal Apnepan Ka Ehsas De

apki-dosti-pe-naaz-hai-humein

Toot Kar Chahne Wale Aaj Bhi

Toot kar chahne wale aaj bhi tujhe chahte hain,
Ye or baat hai Tujhe ehsaas Na kal tha, Na aaj hai.

toot-kar-chahne-wale-aaj-bhi

Ek Aas , Ek Ehsaas

Ek aas, ek ehsaas,
Meri soch aur bus tum,
Ek sawal, ek majaal,
Tumhara khayal or bs tum.

ek-aas-ek-ehsaas

Humari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho

Humari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho,
Tumhare Hr Ghum Ka Dard Hamara Ho,

Mar Bhi Jayein Tu Humein Koi Ghum Nhi,
Bus Aakhri Waqt Saath Tumhara Ho.

humari-har-khushi-ka-ehsaas-tumhara-ho

Dil Mai Basa Ehsaas Tumhara

Dil mai Basa ehsaas Tumhara,
Aankho me Rehta he Chehra Tumhara,
Bhool na Payenge Kabhi Hum Tumko,
Saya ban gaye ho tum to Humara.

dil-mai-basa-ehsaas-tumhara