Shayari On Ehsaas - Hindi Shayari

Lafz Ki Shakal Main Ehsaas

Lafz Ki Shakal Main Ehsaas Likha Jata Hai,
Yani Pani Ko Bhi Pyas Likha Jata Hai,
Mere Jazbat Se Waqif Hay Mera Qalam,
Main Mohabbat Likhun To Tera Naam Likha Jata Hai.

lafz-ki-shakal-main-ehsaas

Ankhon Ko Aansu Ka Pata Na Chalta

Ankhon Ko Aansu Ka Pata Na Chalta,
Dil Ko Dard Ka Ehsaas Na Hota,
Kitna Haseen Hota Ye Zindagi Ka Safar,
Agar Milkar Kabhi Bichadna Na Hota.

ankhon-ko-aansu-ka-pata-na-chalta

Pyaar Wo Ehsaas Hai

Pyaar wo ehsaas hai jo mitata nahi,
Pyaar wo parwat hai jo jhukta nahi,
Pyaar ki keemat kya hai humse pucho,
Pyaar wo anmol hira hai jo bikta nahi.

pyaar-wo-ehsaas-hai

Dil Me Aap Ho Aur Koi Khass

Dil Me Aap Ho Aur Koi Khass Kaise Hoga,
Yaado Me Aapke Siva Koi Paas Kaise Hoga,
Hichkiyan Kehti Hain Aap Yaad Karte Ho,
Par Bologe Nahi To Hume Ehsas Kese Hoga.

dil-me-aap-ho-aur-koi-khass

Kasur Na Unka Tha Na Hamara

Kasur na unka tha na Hamara,
Hum dono hi rishte ki rashmo ko nibhate rahe,
Wo Pyaar ka ehsaas jatate rahe,
Hum Mohabbat ko dil mein chupate rahe.

kasur-na-unka-tha-na-hamara

Apna Dil Apni Tabahi Ka

Apna Dil Apni Tabahi Ka Sabak Hota Hai,
Yeh Jawani Ka Aalam Hi Ajab Hota Hai,
Kaunsi Baat Ne Kiska Dil Tod Diya,
Bolne Waale Ko Ehsaas Hi Kab Hota Hai.

apna-dil-apni-tabahi-ka

Aaj Phir Dilme Kuch Bekarari Hai

Aaj phir dilme kuch bekarari hai,
shaayd kuch zakham ki jagah baki hai,
phir yaadone zakhmoko sehlaya hai,
ek ajeeb se dard ka ehsas umad aya hai.

aaj-phir-dilme-kuch-bekarari-hai

Zauq-E-Janoon Ko Had Se Guzar Jane Do

Zauq-E-Janoon Ko Had Se Guzar Jane Do,
Wo Smaitney Aye Ga Humain Bikhar Jane Do,
Abhi Dastras Mai Hun To Ehsas Nahi,
Usko Ro Ro Ke Pukarey Ga Humain Mar Jane Do.

zauq-e-janoon-ko-had-se

Har Aahat Ehsaas Hamara Dilaayegi

Har Aahat Ehsaas Hamara Dilaayegi,
Har Hawa Khushbu Hamari Laayegi,
Hum Dosti Aisi Nibhaayengey Yaara,
Hum Na Honge Tou Yaad Tumhe Sataayegi.

Jab Tum Kareeb Ho To Aur Be Kareeb

Jab Tum Kareeb Ho To Aur Be Kareeb Aati Hoon,
Ke Hamare Beech Mein Hawa Be Na Gus Paye Jab Tum Door Ho,
To Aur Bohat Door Chali Jathi Hoon,
Ke Tumhari Doori Ka Ehsas Be Na Aaye.

jab-tum-kareeb-ho-to-aur-be-kareeb

Jab Kabhi Dil Ko Wo Rihayi Dega

Jab Kabhi Dil Ko Wo Rihayi Dega,
Mere Andar Koi Tufan Sunayi Dega,
Uss Se Milte Hi Ye Ehsaas Hua Tha Mujhko,
Yahi Wo Shakhs Hai Jo Lambi Judai Dega.

jab-kabhi-dil-ko-wo-rihayi-dega

Chahat Par Aitbaar Na Raha

Chahat Par Aitbaar Na Raha,
Khushi Kya Hai Ye Ehsaas Na Raha,
Dekha Hai In Aankhon Ne Tute Sapno Ko,
Islie Ab Kisi Ka Intezaar Na Raha.

chahat-par-aitbaar-na-raha

Teri Kami Bhi Hai

Teri Kami Bhi Hai,
Tera Ehsaas Bhi Hai,
Tu Door Bhi Hai,
Tu Paas Bhi Hai,
Khuda Ne Yu Nawaza Hai Tere Pyar Se Mujhko,
K Khud Pe Gurur Bhi Hai Or Naaz Bhi.

teri-kami-bhi-hai

Kismat Jazbat Ki Lagai Nai Jati

Kimat Jazbat Ki Lagai Nai Jati,
Kimat Pyar Ki Lagai Nai Jati,
Dil Mai Ho Agar Dard Ka Ahsas,
To Hontho Pe Muskan Sajai Nai Jati.

kismat-jazbat-ki-lagai-nai-jati

Door Nigaahon Se Har Baar Jaye Na Karo

Door Nigaahon Se Har Baar Jaya Na Karo,
Dil Ko Bedard Sa Tadpaya Na Karo,
Tum Bin Ek Pal Bhi Ji Nahi Sakte Hum,
Yeh Ehsaas Bar Bar Dilaya Na Karo

door-nigaahon-se-har-baar

Andhere Ka Ehsas Shaam Se Hota Hai

Andhere Ka Ehsas Shaam Se Hota Hai,
Nashe Ka Ehsas Jaam Se Hota Hai,
Yun To Hazaaron Gham Hai Is Dunia Me,
Magar Dard Ka Ehsaas Mohabbat Ke, Naam Se Hota Hai.

andhere-ka-ehsas-shaam-se-hota-hai

Na Gham Hai Na Hai Ehsaas

Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka,
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka,
Main TO Akela Chal Raha Hoon Andheron Main,
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Roshni Ka.

na-gham-hai-na-hai-ehsaas

Anjaan Kisi Sathi Ka Iss Dil Ko

Anjaan Kisi Sathi Ka Iss Dil Ko Intezaar Hai,
Pyasi Hain Yeh Aankhein, Dil Beqarar Hai,
Sath Jo Mil Jaye Uska, Har Raah Ho Jaye Asaan,
Issi Ehsaas Ka Naam Shayad Pyar Hai.

anjaan-kisi-sathi-ka-iss-dil-ko

Raat Si Tanha Khamoshi Hai

Raat Si Tanha Khamoshi Hai Mere Dil Mein,
Shayad Kuch Jazbaat Ki Kami Hai Iss Dil Mein,
Pehle To Hum Harr Baat Par Haste Ya Rote The,
Par Ab Shayad Koi Ehsaas Hi Nahi Hai Mere Dil Mein.

raat-si-tanha-khamoshi-hai

Kaash Ye Dil Shishe Ka Bana Hota

Kaash Ye Dil Shishe Ka Bana Hota,
Chot Lagti To Beshak Ye Fanah Hota,
Par Sunte Jab Wo Aawaz Iske Tutne Ki,
Tab Unhe Bhi Apne Gunah Ka Ehsaas Hota.

kaash-ye-dil-shishe-ka-bana-hota