Is Raaz-E-Mohabbat Ko Aam Nahin Karna,
Chahat Ke Jazboon Ko Badnaam Nahin Karna,
Tum Jaan Ho Hamari Bas Itna Samajh Lo,
Mere In Lafzoon Ko Neelam Nahin Karna
Dar Dar Se Thokar Khane Ke Baad Hum Lahu Di Ka Bahate Rahe,
Tum Fir Bhi Na Khush Huye Dost Hum Har Rista Thukraate Rahe,
Jisne Hamein Apnana Chaha Har Chahat Ko Hum Thukrate Rahe,
Vaqt Aaya Aur Chala Gaya Hum Kismat Pe Aansu Bahate Rahe.
Itni Chahat Ki Usse K Intha Ho Gayi,
Wo Mohabt Kar K Phir Bewfa Ho Gayi,
Main To Bus Chahta Raha Toot Kar Usay,
Bus Yahi To ek Muj Se Khta Ho Gayi.
Mohabbat Main Khata Huyi Jakhmi Dil Ki Duhaayi Hai,
Mere Jakhmi Dil Mein Unhe Apni Chahat Najar Aayi Hai,
Hamein Sudharne Ki Unki Koshise Nakaam Ho Gayi Hai,
Aaj Dekho Meri Chahat Nilam Ho Gayi Hai,
Pagal Huye Jo Hum To Ulfat Usay Bhi Thi,
Chaha Jo Hm Ne Us Ko To Chahat Usay Bhi Thi,
Usko Na Bhol Payengay Wo Janta Tha,
Or Har Baat Bhol Jane Ki Adat Usay Bhi Thi.
Dil k jazbon ko sambhal k rakho sada,
ye mooti wafa k, inhen rola nahi karte,
chahat k dareechy bohat anmool hoty hain,
har kisi k liye in dareechon ko khola nahi karte.
Har Khusi Di Tune Mujhe,
Badle Mein Kuchh Bhi Na Chahat Ki,
Maine Char Line Likh Di,
Kagaj Ko Sab Kuchh Jana Tune,
Aaj Main Tumse Door Hu,
Tujh Se Milane Ko Majboor Hu,
Mere Jajbaat Hain Kagaj Mein,
Tum Se Door Rahne Ko Majboor Hain.
Jisne Toot Kar Chaha
Wohi Toh Tha Meharban Mera,
Kawboon Ki Adla Badli Mein,
Jal Giya Tha Ashiyan Mera,
Husan Ka Jalwa Bina Dekhe,
Kho Giya Tha Dilruba Mera,
Koul Se Hatne Ki Saajis Mein,
Usne Pakda Girebaa Mera,
Kaliyan Chahat Ki Masal Dilayi,
Fir Bhi Tha Woh Baghbaan Mera…
Luta Diya Maine Pyar Uspe,
Dil Se Fida Tha Woh Kisi Pe,
Na Kadar Ki Usne Chahat Ki Meri,
Shayad Marta Tha Woh Kisi Pe,
Arthi Uthi Thi Chahat Ki,
Jab Doli Mein Mujhe Bithaya Gaya Tha,
Badnaam Mohabbat Meri Huyi,
Jab Shaadi Ka Joda Pahnaya Gaya.
Kitna Chahta Hoon Tujhe Ye Mujhko Pata Nahi
Mgr Tumhare Siwa Koi Or Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dushman Ho Giya Chahat Ka Humari,
Juda Ho Gye Phir Sy Hum Ye Meri Khata Nahi.
Gair Ka Haal Chhipaye Se Kahin Chhipta Hai,
Jo Kisi Vajah Se Main Aap Ke Muh Par Na Kahu,
Nikal Lete Hain Ro Ro Ke Hum Bhi Dil Ka Gubar,
Jo Baith Jate Hain Do Char Pareshan Bando Mein,
Raah Par Unko Laga Laaye Toh Hain Baaton Mein,
Aur Khul Jayenge Do Char Mulakaton Mein,
Khata Kya Hai Unki Jo Us But Ko Chaha,
Khuda Chahata Hai Toh Sab Chahte Hain.
Aap Se Milne Ki Chahat Hamesha Rahegi,
Apko Bhoolkar Yeh Zindagi Na Rahegi,
Apse Humari Dosti Tub Tak Rahegi,
Jab Tak Ye Dunya Salamut Rahegi.
Uske Hontho Ke Paas Ja Kar,
Chum Lene Ko Jee Chahta Hai,
Use Apna Humdard Banane Ko Jee Chahata Hai,
Bas Mujhe Har Taraf Woh Hi Nazar Aati Hai,
Unse Milne Ke Bad Ab,
Yunhi Mohabbat Mein Kho Jaane Ko Jee Chahta Hai…
Zaroorat Hai Mujhe Tere Pyar Ki,
Chahat Hy Mujhe Tere Ikrar Ki,
Jante Hain Hum Tumko Is Kadar,
Gunjaish Hi Nhi Kisi Takrar Ki.
Jab Woh Mere Paas Hoti Hai Yaaro,
Kya Batayein Hum Yaaro,
Uske Chehre Se Ek Pal Ke Liye Bhi,
Nazar Nahi Hat Ti Hai,
Itni Pyari Hai Woh Yaaro,
Us Mein Kho Jane Ko Dil Chahta Hai Yaaro.
Talash Karo Koi Tumhein Mil Jayega,
Mgr Humari Tarha Tumhein Kon Chahega,
Zarur Koi Chahat Ki Nazar Se Tumhein Dekhega,
Mgr Ankhein Haumari Kahan Se Layega.
Woh Itni Sundar Hai Ki,
Uska Chehra Dekh Mera Dil Bahak Gaya,
Uski Hansi Dekh Dil Gardan Gardan Ho Gaya,
Bas Dua Hai Ki Woh Yun Hi Muskuraye Hamesha,
Or Uski Muskan Ko Hum Dekhte Rahe,
Or Uski Chahat Me Dub Gaye.
Aj Phir Aaina Pochhta Hai,
Ke Teri Aankhoon Mein Nami Kyun Hai,
Jiski Chahat Mein Khud Ko Bhula Diya,
Phir Uski Chahat Mein Kami Kyun Hai.
uski chahat ki chandani hogi
khoob surat si zindagi hogi
ek ladki bahut se phool liye
dil ki dahlij par khadi hogi
chahe jitne chirag gull kar do
is nagar mein toh roshni hogi
Ek Din Jab Meri Sans Band Ho Jayegi,
Mat Sochna Ki Chahat Kam Ho Jayegi,
Fark Sirf Itna Hoga,
Aaj Hum Apko Yaad Karte Hain,
Kal Meri Yaad Apko Rulaygi.