Reh Na Paoge Kabhi Bhula Kar Dekh Lo,
Yaqeen Nahi Ata To Azma Kar Dekh Lo,
Har Jaga Mehsos Hogi Kami Hamari,
Apni Mehfil Ko Kitna B Saja Kar Dekh Lo.
Kahan Aa Ke Rukne The Raste,
Kahan Mor Tha Usay Bhol Ja,
Jo Mil Gaya Usay Yaad Rakh,
Jo Nahi Mila Usay Bhol Ja.
Na Jane Kis Baat Ki Wo Mujh Ko Saza Dayta Hai,
Mere Hansti Hoye Ankhon Ko Rula Dayta Hai,
Hum Ko Maloom Nahin Koye To Poocho Us Se,
Kya Koye Is Tarah Apno Ko Bhula Dayta Hai.
Unse Dur Janay Ka Irada Na Tha,
Sada Sath Rehnay Ka Bhi Wada Na Tha,
Wo Yaad Na Karaingay Yeh Jantay Thay Hum,
Par Itni Jaldi Bhool Jayengay, Andaza Na Tha.
Unke Sitam Ka Tha Asar Ki Muskurana Bhool Gaye,
Sab Kuch Bhula Diya Dil Se,Pr Unhe Bhulana Bhool Gaye.
Zinda Hu Main Magar, Jeene Ki Koshish Kr Rha Hu Main,
Is Jeene Ki Koshish Me, Bar Bar Mar Rha Hu Main.
Jee To Skta Hu Mgar Bhool Kr Tumko.
Mar Rha Hu Bar Bar, Kyunki Tumhe Yaad Kr Rha Hu Main
Kabhi Dil Se Muskura Kar Dekho,
Humari Gazal Gunguna Kar Dekho,
Hum Bhool Jayenge Aapko Ek Shart Pe,
Pehle Aap Humein Bhula Kar To Dekho.
Ek Pal Main Sadiyon Ka Maza Hum Se Poocheye,
Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Poocheye,
Bhoole Hain Rafta Rafta Unhe Muddaton Me Hum,
Kistoon Main Khudkushee Ka Maza Hum Se Poocheye.
Wo Yaad Nhi Krte,Hum Bhula Nhi Sakte,
Wo Hans Nahi Sakte,Hum Rula Nahi Sakte,
Hai Pyar Itna Khubsurat Humara,
Ki Wo Bata Nhi Sakte Or Hum Jata Nhi Sakte.
Bhulaakar Hume Who Khush Reh Paayenge,
Saath Me Nahin Toh Mere Jaane Ke Baad Muskuraayenge,
Duva Hai Khuda Se Ke Unhe Kabhi Zakhm Na De,
Hum Toh She Gaye, Par Who Toot Jaayenge.
Yaade Dilse Mitane Ki Cheez Nahi Hoti,
Zindgi Har Pal Azmane Ki Cheez Nahi Hoti,
Beshak Kuch Pal Yuhi Bhula Diye Jate Hai,
Par Pyar Bhool Jane Ki Cheez Nahi Hoti.
Pagal Huye Jo Hum To Ulfat Usay Bhi Thi,
Chaha Jo Hm Ne Us Ko To Chahat Usay Bhi Thi,
Usko Na Bhol Payengay Wo Janta Tha,
Or Har Baat Bhol Jane Ki Adat Usay Bhi Thi.
Woh Mujh Ko Bhool Baitha Ni Hairat Hui,
Sun Kar Woh Apni Chezon Ko Aksar Bhol Hi Jata Hai,
Aap Hamein Bhool Jao Hame Koi Gham Nahi,
Jis Din Hamne Aapko Bhoola Diya,
Samajh Lijiyega Es Duniya Mein Hum Nahi.
Jaane Kyun Log Kisi Ko Bhool Jaate Hai,
Kuch Pal Sath Rehkar Door Chale Jaate Hai,
Shayad Log Sach Hi Kehte Hai,
Sagar Milne Ke Baad Aksar Baarish Ko Bhool Jaate Hai.
Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata
Mujhe Bhool Kr Tujhe Kiya Mila
Meri Hasratoon Ka Hisab Dy
Dil Toor Kr Tujhe Kiya Mila
Tere Chaar Din Ke Pyaar Sy
Mujhe Umar Bhar Kaa Gham Mila
Main Toot Kr Bikhar Giya
Meri Zindgi Mujhe Yeh Bata
Mujhe Bhool Kr Tujhe Kiya Mila.
Aaya Tha Unka Khat Ye Ke Hamein Bhool Jao,
Hamney Jawab-E-Khat Main Kinara Jala Diya.
LAMBI HAI MANJIL DOOR HAI KINARA,
JANEY KU NAHI AAYA PAIGAAM TUMHARA,
BHOOL GAYE HO HAMEY YA NAAM HAMARA,
JARUR KOI MILA HOGA HUM SEY BHI PYARA.