Ajab Tarah Se Socha Hai Zindagi K Liye,
Zakham Zakham Likhte Hain Har Kushi K Liye,
Wo Shaks Muje Bhool Gaya To Yaqeen Aya,
Koi Bhi Shaks Zaroori Nahi Kisi K Liye.
Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya,
Gairon Ne Bewafa Ka Naam De Diya,
Jo Kehte They Hamein Bhool Na Jana,
Unho Ne Hi Bholne Ka Paigam De Diya.
Yeh Bahein Humein Jab,
Apni Panahon Mein Bulathi Hein,
Humein Apni Kasam Hum,
Har Sahara Bhool Jate Hain.
Reet Hai Jane Kaisi Yeh Jamane Ki,
Jo Saza Milti Hai Dil Laganne Ki,
Na Basana Dil Main Kisi Ko Itna,
Ki Phir Dua Mangni Pada Bhulane Ki.
Tum Banke Dost Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
Tumhen Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi,
Par Hum To Tumhe Bhulana Hi Bhool Gaye.
Bhoolna Tumhe Na Asaan Hoga,
Jo Bhule Tumhe Vo Nadan Hoga,
Aap To Baste Ho Rooh Mein Hamari,
Aap Hume Na Bhule Ye Apka Ehsan Hoga.
Ishq Me Tere Har Had Se Guzar Jana Chahta Hoon,
Log Jeete Hai Ashaqi Main Main Teri Chaht Main Mar Jana Chahta Hoon,
Aye Mere Yaar Na Samjha Hai Na Samjhe Ga Tu Sagar Ka Naseeb,
Log Pane Ke Liye Jeete Hain Main Tujhe Kho Ke Jeena Chahta Hoon,
Yaad Karegi Tu Mujhe Jitna Utna Hi Mujhe Yaad Ayegi,
Yaad Aaoon Na Tujhe Main Main Tujh Ko Bhool Jana Chahta Hoon.
Tumko Bhula Payenge Itna Hum Me Dum Nahi,
Tumne Diya Jo Gam Wo Maut Se Kam Nahi,
Yaaro Dil Ke Jakhm Dikhaon Phasana Yaar Kaa Hain,
Mohabbat Jhoothi Hain Bahana Pyaar Kaa Hain.
Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.
Hum Ko Bhool Na Jana Tum,
Yeh Kehte Hain Sab Hi,
Lekin Aata Hai Waqt Kuchh Aisa,
Ke Bhool Jaate Hain Khud Hi.
Khayal Me Ata Hai Jab Uska Chehra,
To Labon Pe Aksar Faryad Aati Hai,
Hum BHOOL Jate Hen Uske Sare Sitam,
Jab Uski Thori Si Muhabbat Yaad Ati Hai.
Tum BHOOL Bhi Jao To Ye Haq Hai Tum Ko,
Meri Aur Baat He Maine To Mohabbat Ki Hai.
Tum Bhool Ke Bhi Mujhe Bhool Na Paoge,
Bhoolo Ge Bhi Kaise Jaab Hum Hi Nahi Bhula Paye.
Sapno Ki Tarha Aakar Chali Gayi,
Apno Ko Bhula Kar Chali Gayi,
Kis Bhool Ki Saja Di Hamein,
Usne Pahele Hasaya Pir Rula Kar Chali Gayi.
Tumhein Bhoolne Main Hamein Kuch Waqt Lage Ga,
Aur Wohi Kuch Waqt Hamari Zindagi Hai Janaa.
Bhool Kar Bhi Bhula Nahi Sakte,
Aur Hum Tujhko Paa Nahi Sakte,
Khud Pe Ilzaam Dhar Liya Humne,
Tujh Pe Tohmat Laga Nahi Sakte,
Dil Pe Likha Hai Yu Tera Naam,
Chah Kar Bhi Mita Nahi Sakte,
Usne Duniya Bhula Kar Rakh Di Hai,
Hum To Lab Bhi Hila Nahi Sakte,
Bhool Jaate Hai Roz Wo Yeh Keh Kar,
Hum Tum Ko Bhula Nahi Sakte.
Koi Gila Na Koi Shikwa Rahe Aapse,
Ye Aarzo Hai Ek Silsila Rahe Aapse,
Bus Ek Choti Si Iltija Karte Hein Hum,
Bhoolna Nahi Chahe Kabhi Juda Rahe Aapse.
Jinki Yaad Hai Dil Me Nishaani Ki Tarah,
Woh To Bhool Gaye Hume Kahani Ki Tarah.
Ek Dil Ko Dil Lage Se Bachaya Na Ja Saka,
Qismat Se Apna Aap Churaya Na Ja Saka,
Hairat Hai Ke Log Kaise Khuda Ko Bhool Gaye,
Hum Se To Ek Insan Bulaya Na Ja Saka.
Gamo Mai Bhi Muskurana Chahta Hu Mein,
Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hu Mein,
Magar Na Jane Kyon Nikal Ate Hain Ansoo,
Jab Bhi Tumhe Bhulana Chahta Hu Mein.