Teri Dunia Me Mujhe Ek Pal Dede,
Meri Berukhi Zindagi Ko Guzra Hua Kal Dede,
Wo Waqt Jo Guzre Tha Sath Tere,
Ab Unhe Bhul Pau Aisa Koi Haal Dede.
Ye dost itna to yaad kiya hota,
Ek pyar bhara paigam to bhej diya hota,
Kaise jeete hai teri yaad mein hum,
kam se kam ek dafa baar haal to puch liya hota.
Dekhi hai berukhi ki aj hum ne inteha Mohsin,
Hum pe nazar pari to “wo mahfil se uth gaye”
Tumhari berukhi par bhi luta di zindagi hamne,
agar tum meharbaan hote hamara haal kya hota.
Bagair jaane pehchane ikraar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekarar na kijiye,
Gulab bhi de jaate hai zakhm gehra kabhi-kabhi,
Har Gulab par yu aitbaar na kiya kijiye.
rooth gaya hai humko manane wala,
ab koi nahi hai hamare nakhre uthane wala,
par jaane kya sochta hai ye mehkhana,
shayad rasta bhool gaya hai meh ko peene wala.
Khushion se naraz hai meri zindagi,
Pyar ki mohtaz hai meri zindagi,
Has leta hu logo ko dikhane ke liye,
warna dard ki kitaab hai meri zindagi.
Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi
Hamare Jaisi Tumko Chahat Bhi Na Milegi,
Yu Itni Berukhi Na Dikhlaiye humpe,
Hum Agar Ruthe To Hamari Aaha bhi Na Milegi.
Sitam Ko Humne Berukhi Samjha,
Pyaar Ko Humne Bandagi Samjha,
Tum Chaahe Hume Jo Bhi Samjho,
Humne To Tumhe Apni Zindagi Samjha.
Nahi gila tujse tere khafa hone ka,
Mere naseeb mein wafa likhi hi nahi,
Gairo ke teer kam the shayad mere seene pe,
Chalni jo kar diya seena teri berukhi ne.
Ham yu apni zindgi se mile,
Ajnabi jaise ajnabi se mile,
Har wafa ek jurm ho gaya,
Har dost kuch aisi berukhi se mile.
Pyar Unka humse Bhulaya Na Gaya,
Unke Baad Kabhi humse Muskura Na Gaya,
Unki To Berukhi Mein Bhi Wo Ada Thi Zalim,
Ki Bewafa Ka Ilzaam Bhi Unpe Lagaya Na Gaya.
Kabhi aisi bhi berukhi dekhi hai humne,
Ke log aap se tum tak,
Aur tum se jaan tak,
Fir jaan se anjaan tak ho jate hain.
Teri Berukhi Ka Ik Din, Ye Hi Anjaam Hoga,
Aakhir Bhula Hi Denge Tujhe, Yaad Karte Karte.
Aap Ki Berukhi Ko Bhi Rutba Diya Humne,
Dosti Ka Har Farz Ada Kiya Humne,
Mat Sochiyega Ki Hum Bhula Denge Aapko,
Aaj Phir Aap Se Pehle Aapko Yaad Kiya Humne.