Khud Apni Zaat Mein Bhi,
Aks Tumhara Paati Nahi Hoon,
Ke Band Aankhoon Mein Bhi,
Chehra Tumhaara Nazar Aata Hai.
Ab To Apni Haalath Hi Kuch Aisi Hai,
Saas Bhi Leta Hu To Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai.
Suno Ya Na Suno Awaaz Meri Ye Dil Ki Sada Hai,
Zaalim Tu Ne Jo Diya Dard Usme Bhi Wafa Lagti Hai.
Sochta Hu Kuch Pal Bita Lu Khushiyo K Magar,
Haye !Afsos Ab To Har Khushi Bhi Gum Lagti Hai.
Jiyu To Kaise Jiyu Teri Yaado Ko Baaho Me Sametkar,
Teri Kasam Ab To Aks Ko Ye Zindagi Bhi Saza Lagti Hai.
Judaa Hui Wo Humse Kuch Is Tarah,
Hum Saase Lena Bhool Gaye.
Rehta Hai Uska Intezar Aaj Bhi Aks Ko,
Isliye Hum Ankhe Bandh Karna Bhool Gaye.
Log Has Has K Udate Hai Mazaak Mera,
Aur Ek Hum Hai K Muskurana Bhool Gaye.
Ek Waqt Tha K Likhta Tha Aks Shayri Adaa K Naam,
Aur Aaj Kehta Hai Hum Qalam Uthana Bhool Gaye.
Taqdeer Ne Mera Ye Kaisa Imtehaan Liya,
Kabhi Unse Milaya Aur Kabhi Judaa Kiya,
Unki Tasveer Na Khafa Ho Jaaye Meri Aankhon Se,
Apne Dil Ko Jalaya Aur Saaso Ko Bujha Diya,
Kisi Ne Poocha Tumhari Aankhe Surkh Hui Kaise,
Kaha Maine Kal Saari Raat Jaaga Aur Intezaar Kiya,
Intezaar Kyu Na Karta Kal Raat Thi Hi Kuch Aisi,
Itna Yaad Kiya Hai Adaa Ko Khud Ko Bhula Diya,
Agar Samjho To Bahot Gehrai Hai Mere Lafzo Me,
Phir Na Kehna Ke Aks Ne Likha Aur Sab Mita Diya
Bhar Kar Tasveer-E-Yaar Aankhon Mein,
Hum Ne Intezaar Mein Aankhen Bandh Karli.
Zara Der Se Jo Aayi Adaa K Badan Ki Khushbu,
To Humne Khud Se Saase Judaa Kar Li.
Aankhe Khuli Aur Zara Hosh Aaya To Pata Chala,
Maut Ne Hi Aks Se Bewafai Kar Li.
Maut Se Jo Poocha Uski Bewafai Ki Wajah,
Kaha Tere Liye Kisi Ne Zindagi Ki Dua Kar Li.
Ye Sochkar Ke Wo Shayad Bhool Gaye Sab Kuch,
Hota Hai Dil Mein Dard Kitna Sheesha Tod Ke Dekh.
Jis Kadar Aks Tadapta Hai Aur Rehta Hai Bechain,
Kya Wo Bhi Tadapte Hai Zara Jaa K To Dekh.
Kabhi Chua Tha Inhi Hatho Se Tu Ne Adaa Ka Badan,
Ab Apne Inhi Hatho Ko Sazaa Deke Dekh.
Shayad Tere Dil Ki Tadap Sunkar Wo Laut Aaye,
Ek Baar Phir Se Unko Awaaz Deke Dekh.
Taras Gaya Hu Adaa Ke Deedar Ko,
Wo Mujhe Aisi Saza De Gaye.
Khatm Na Ho Kabhi Bhi Intezar,
Meri Ankho Me Wo Aks De Gaye.
Bus Unhe Yaad Karke Rote Rahe,
Wo Yaado Ko Aisi Khamoshi De Gaye.
Laut Aao Ab Na Intezar Do Mujhko,
K Tere Intezar Me Hum Mar Gaye.
Kabhi Khwab-O-Khayal Me Socha Na Tha
Meri Adaa Ne Mujhe Aisa Dhoka Diya
Jalti Hai Shamma Jis Tarah Numaish K Liye
Meri Mohabat Ko Usne Aisa Ruswa Kiya
Lag Gayi Aag Uski Mehendi Se Mere Seene Me
Jis Dard Ki Dawa Na Mile Usne Wo Zakhm Diya
Kaisa Shikwa Kaisi Shikayat Kare Ye Aks Usse
Tadap Raha Hu Ye Meri Wafaon Ka Acha Sila Diya
Hazaro Dard Hazaro Gum Sahey Maine Adaa Ki Khatir
Jaane Kisne Ye Keh Diya K Aks Bejaan Rehte Hai
Meri Hasti Mit Gayi Mere Armaa Bikhar Gaye
Uspar Ye Sitam Wo Mujhe Deewangi Ka Ilzaam Dete Hai
Ha ! Maine Use Toot Kar Chaha Ye Meri Deewangi Hogi
Tabhi To Log Mujhe Deewana Aur Use Bewafa Kehte Hai
Sochta Hu Char Lafzo Me Likhu Apna Gum-E-Dil
Do Lafz Wo Keh Gaye Aur Do Hum Kehte Hai
Usne Banaya Aashiya Apna Mere Janazey Par,
Apne Janazey Ko Dulhey Sa Saja Jaunga,
Har Waqt Har Pal Be Maut Mar Raha Hai Aks,
Koi De De Zeher Hus K Main Pee Jaunga,
Koi Pooch Na Le Mujhse Kyu Rota Hai Tu,
Apne Chehre Ko Kafan Se Chupa Jaunga.