Paaniyon me jo Aks Girta Hai,
Phir Uthaane se Kab Ubahrta Hai,
Dard-E-Dil Aap ne Diya hai Mujhe,
Ab Yeh Gazalon Me Dhal Nikharta Hai,
Reh Gai Cheekh Kar koi Hasrat,
Yun Bhala Shair Kab Sanwrta Hai.
Ye Mera Wahem Ek Din Mujhey Dubo De Ga,
Tera Aks Nazaar Aataa Hai Sammandar Ki Lehron Mein.
Hai Aks Muyasar Tera,Jis Simt Bhi Dekhoon,
Kya Har Koi Tum Sa Hai Ya Saara Jahaan Tum Ho.
Bade Faraibi Hain Iss Daur Ke Jugnoo Faraz,
Roshni Dikha Ke Andhere Ki Aur Bulate Hain.
Naa Karo Dard Kaa Izhaar-e-haal Aks Wahi Nazar Aata Hai
Jo Dekhna Nagavaar Hai Saamne Hai Usko Log Bura Kehte Hain.
Sirf Yahi Paya Hai Maine Sadiyon Usse Mohabbat Karke,
Ek Shayari Ka Khafa The Aayine Se,
Tera Aks Baar Baar Dikhata Tha.
Kiran Ka Aks Bhi Ab Meri Dastaras Mein Nahin,
Good Naz Ussi Mukaam Pe Phir Dekh Humein Tanha Bahut Mayoos Huye Phool Bechnewaale.
Har Saans Ke Saath Mujhe Socha Karoge Tum,
Apne Hi Aks Me Dhoonda Karoge Tum,
Jab Yaad Ayegi Tumko Wafa Meri,
Fir Har Shaks Ko Chahat Se Dekha Karoge Tum.
Main Aks Dekh Kar Khush Ho Rahi Thi Main,
Pather Kisi Ne Maar Kar Manzar Badal Diyaa
Tera Aks Ban Jaaye Mera Wajood Is Faasile Ko,
Mitaoon Kaise Kuch Din To Aitbaar Mein Bitaa Leta Hoon, Mahine Intezaar Mein Bitaoon Kaise Tum Meri Ho.
Raah-e-gum-karda Taaron Ki Tarah,
Phir Sitaare Safar Pe Chalne Lage,
Phir Nigaahon Mein Dhool Udti Hai,
Aks Phir Aaine Badalne Lage.
Aks To The Maujood Par Aks Tanhai Ke The,
2 Raat Bhar Uski Hi Aahat Kaan Mein Mere Aati Rahi,
Jhaank Kar Dekha Gali Mein To Koi Aaya na
Fir Na Ubhra Jo Yahan Dooba,
Mujko Mere Aks Se Badhne Nahi Deta Tha Wo,
Mere Aur Dunia Ke Bich Ek Aayine Jaisa Tha Wo.
Aks-o-Aina Me Ab Rabt Ho Kya Tere Baad,
Hum To Phirte Hain Khud Apne Se Khafa.
Chala Aata Hai Tera Aks Mere Khayalon Mai Aksar ,
Tujhe Ho Na Ho Teri Rooh Ko Zaroor Mohabbat Hai Mujh Se.
Raiza Raiza Hai Aks Mera,
Magar Hairat Yeh Hai,
Hai Mera Aayina Salamat,
Phir Toota Kya Hai.