Shayari On Aaina - Hindi Shayari

Kabhi Aap Subah Ko Yaad Aate Ho

Kabhi aap subah ko yaad aate ho,
kabhi aap dophar ko yaad aate ho,
kabhi aap sham ko yaad aate ho,
kabhi-2 to itna yaad aate ho ki,
Aaina hum dekte hai najar aap aate ho.

kabhi-aap-subah-ko-yaad-aate-ho

Aaina Bhi Ab To Shikayat

Aaina Bhi Ab To Shikayat Karne Laga Hoga,
Itna Bhi Khud Ka Aks Dekha Mat Kijiye.

aaina-bhi-ab-to-shikayat

Tujhe Khawabon Se Koi

Tujhe khawabon se koi dur na kare,
Tujh se narazgi ki koi bhool na kare,
Har sheesha tere chehre ka gulam ho jaye,
Varna tut jaye wo aaina jo tujhe qabool na kare.

tujhe-khawabon-se-koi

Tum Haqeeqat Nahi Ho

Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho,
Jo Mile Khawab Mein Wahi Doulat Ho,
Kis Liye Dekhti Ho Aaina,
Tum To Khud Se B Jyada Khubsurat Ho.

tum-haqeeqat-nahi-ho-hasrat-ho

Asar Unka Kuch Is Kadar Hua

asar unka kuch is kadar hua he Rafat,
ke unke khayalo se ab hume fursat nahi,
dil ke saath aaina bhi ghulam bana he unka,
ke ek arse se dekhi khudki mene surat nahi.

asar-unka-kuch-is-kadar-hua

Juda Juda Sa Milta Hai

Juda Juda Sa Milta Hai Mujhko Har Ek Shaks,
Chehare Par Hote Hai Sabke Yaadon Ke Kuchh Naksh,
Halat Kuchh Aisi Hai Ke Dil Kee Yaaro,
Jaise Jalte Aaine Mai Bhujha Hua Sa Aks.

juda-juda-sa-milta-hai

Aaina Kuch Nahi Nazar Ka Dhoka Hai

AAina kuch nahi nazar ka DHOKA hai,
Nazar wahi aata hai jo dil me hota hai,
AAINE aur DIL ka ek hi FASANA hai,
ANJAM dono ka toot kar Bikhar jana hai.

aaina-kuch-nahi-nazar-ka-dhoka-hai

Aaina Koi Aisa Bana De

आइना कोई ऐसा बना दे,
ऐ खुदा जो,
इंसान का चेहरा नहीं,
किरदार दिखा दे.

Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute

Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute,
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute,
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka,
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute.

kabhi-hum-tute-toh-kabhi-khwaab-tute

Aaina-E-Dil Tod kar Dekh Liya Tune

Aaina-e-dil tod kar dekh liya tune,
Teri soorat ke siwa aur bhala kya nikla.
Maine socha tha ke fariyaad karunga hakim se,
Woh bhi zalim tera chahne wala nikla.

aaina-e-dil-tod-kar-dekh-liya-tune