Roya Hai Dil Aankh Muskurai Hai,
Yun Hi Humne Wafa Nibhai Hai,
Jo Na Ek Lamha Bhi Humein De Paye,
Uski Khatir Humne Saari Umar Gavai Hai.
Ik Karb-E-Wafa Musalsal Mujhe Sone Nahi Deta,
Dil Sabar Ka Aadi Kabhi Rone Nahi Deta,
Main Uska Hoon Ye Raaz To Woh Jaan Gaya Hai,
Woh Kis Ka Hai Ehsaas Ye Hone Nahi Deta.
Chaha Tha Usko Rooh Ki Gehraion K Sath,
Zinda Hoon Apni Zat Ki Tanhayion K Sath,
Roka Nahi Tha Usko Bicharnay K Waqt Bhi,
Apni Wafa Pay Naz Tha Sachaion K Sath.
Zindagi Me Is Kadar Apko Wafa Denge,
Aapki Har Khushi Ke Khatir Aanshu Tak Baha Denge,
Har Pal Yaad Rakhenge Aapki Dosti Ko Hum,
Door Rah Kar Bhi Aapko Dil Se Dua Denge.
Apki Chahat Ki Qadar Karte Hain,
Salam Apki Dosti Ki Nazar Karte Hain,
Jo Karte Hain Wafa Hum Se,
Jaan Apni Hum un Ki Nazar Karte Hain.
Chahe Wafa Me Thokre Khate Raho,
Fir Bhi Rasme Wade Nibhate Raho,
Yahi To Ishq Ka Dastoor Hai Yaaro,
Ki Jakhm Khate Raho Aur Bas Muskurate Raho.
Khafa Bhi Rehte Hain,
Or Wafa Bhi Krte Hain,
Is Tarha Apne Pyar Ko Bayan Bhi Krte Hain,
Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse,
Khona Bhi Chahte Hain,
Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hain.
Woh Mera Ho Jo Nighaaon Main Hayya Rakhta Ho,
Umar Bhar Sath Chalnay Ka Azmay Wafa Rakhta Ho,
Naaz Uss Kay Na Utthon To Shikayat Na Kare,
Woh Zakham Kha Ker Bhi Muskranay Ki Adda Rakhta Ho.
Wafa ke naam se woh anjaan the,
Kisi ki bewafai se shayad preshaan the,
Humne wafa deni chaahi to pata chala,
Hum khud bewafa ke naam se badnaam the.
Wo Ro Ro Ke Ham Pe Eljam Lagate Chale Gaye,
Ham Khune Ask Ko Jigar Me Dabate Chale Gaye,
Ab Jab Jalta Hai Dil Asko Ke Aag Se To Kya Gum Hai,
Hum Bhi To Ek Bewafa Se Wafa Nibhate Chale Gaye.
Chaha Hai Is Ko Rooh Ki Gehraiyoon Ke Sath,
Zinda Hoon Apni Zaat Ki Tanhaiyon Ke Sath,
Roka Nahi Tha Us Ko Becharne Ke Waqat Bhi,
Apni Wafa Peh Naaz Tha Sachiyon Ke Sath.
Pyaar ki har rasam nibhayi thi maine,
Tumhe pane k liye har kashti dubayi thi maine,
Tumne kadar na jane meri wafaon ki,
Tumhari chahat me har khushi lutayi thi maine.
Vaade Bhi Usne Kya Khoob Nibhaye Hai,
Zakhm Muft Aur Dard Tohfe Me Bhijwaye Hai,
Is Se Badhkar Wafadari Ki Misaal Kya Hogi,
Maut Se Pehle Vo Kafan Le Aaye Hai.
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain,
Aur phir se laut jati hain,
Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain,
Ya phir laut ke samandar se Wafa nibhati hain..
Taras Gaye Thodi Si Wafaa Ke Liye,
Kisi Se Pyaar Naa Karenge Khuda Ke Liye,
Jab Bhi Lagti Hain Ishq Ki Aadalat,
Hum Hi Kyun Chune Jate Hain Sazaa Ke Liye.
Gazab Ka Khel Hai Mitti Se Bane Logo Ka,
Bewafai Kare To Rote He Aur Wafa Kare To Rulaate He.
Wo naa aaye unki yaadein aakar Wafa kar gayi,
Unse milne ki tamanna sukoon tabah kar gayi,
Aahat huyi aisi ki socha Dua asar kar gayi,
Khol darwaja dekha to majak humse hawa kar gayi.
Sanam mera bada dildaar hai,
Use humse bahut pyaar hai,
Kisi aur ki baahon me hokar bhi,
Dil me uske humara naam hai,
Isi ek wajah se iss jahan mein,
Bewafai ke aage wafa badnaam hai.
Har baar unki salamati ki dua karenge,
unki aarzu me apni hasti fanah karenge,
wo chahe daaman bachale humse lekin,
hum marte dam tak unse wafa karenge.
Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai,
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai,
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe,
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai.