Kash koi is trha bhi waqif ho meri Zindagi se,
Ki mai Barish mai bhi roun to mere ansu pad le.
Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar ,
Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera……
Jab Se Dekhi Hain Wo BheeGi Howi Aankhein …
Hanstay ChehRon Pe Bhi Ronay Ka GumaaN Hota Hai……..!
Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain..!!
Kisi ne hume rulaya to kya bura kiya,
Dil ko dhukaya tho kya bura kiya,
Hum to pehlese hi tanha the….
Kisi ne ehasas dilaya to kya bura kiya.
le lo waapis wo aansu,
wo tadap aur wo yaadein saari,
nahi koi jurm mera,
tu phir ye sazaaien kaisi.
Usski jafaaao’n ne mujhe tahzeeb sikha di hai Mohsin,
Main rote hue so jaaata hoo’n par shikwa nahi karta……
woh kehte the roonay se nahi badalte naseeb
unn ki iss baat ne umar bhar roonay bhi na diya !!
Teri Ibtida Bhi ans0o..Teri Inteha Bhi Aahain…!!!
Tu Hi Bta Muhabbat ..Tujhe Kis Bina Pa chahein ?
Jab Tera Dard Mere Sath Wafa Karta Hai,
Ek Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai,
Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz,
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hai ..!!!
Chand anso hain nadamat k meri ankhon me,
Aur to kuch bhi nahin muj se gunehgar k pass.
Iss duniya mein aansu ki kimat wo kya jane,
Jo har baat pe aansu bahate rehte hai,
Aansu ki kimat hamse pucho aye dosto,
Jo gam me bhi har waqt muskurate rahte hai.
Sirf chehre ki udasi par aaye ansuu,
Dil ka alam to abhi aap ne dekha hi nahin.
Qurbaton me bhi judai ke zamane mange,
Dil wo be mohar k rone ke bahane mange.
Waqt khosh khosh katane ka mashwara dete hue,
Ro para wo app muj ko hosala dete hue.
Tum ko bhi rona aata hoga apni kamoshi par
jab insan lagaty hay,tehainyon par ghaat darakhton !
Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar
Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai
Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai…
Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka,
To Behte Hue Ansoon Aksar Baat Kerte Hain..