Shayari About Tears - Page 3 - Hindi Shayari

Kya Karogi Tum Khat Likhkar

Kya Karogi Tum Khat Likhkar,
Aanchal Hawa Mein Uda Dena,

Apne Ghesu Ki Udhti Khusbu Se,
Tum Dil Ka Paigam Bhijwa Dena,

Is Kaadr Gir Gaye,
Humko Bhi Gira Diya Jamane Ne,

Kyu Likhte Ho Asko Se Khat,
Ab Kya Rakha Hai Aansu Bahane Mein…

Kya Karogi Tum Khat Likhkar

Na Kisi Shaks Ki Ijjat

Na Kisi Shaks Ki Ijjat Na Kisi Ka Aadar,
Aasik Aate Hain Ki Tumhaare Gulam Aate Hain,

Rasm E Tabdir Bhi Mit Jaaye Yahi Matlab Hai,
Unke Khat Mein Mujhe Gairo Ke Salaam Aate Hain,

Aansu Ho, Nala Ho, Hasrat Ho, Ki Armaan E Vishal,
Aane Wale Teri Furkat Mein Madam Aate Hain,

Daag Ki Tarah Se Gull Hote Hain Sadke Kurbaan,
Bahr E Gulgast Chaman Mein Jonijam Aate Hain…

Mit Gaya Dard Ae Mohabbat Ka Maja

Mit Gaya Dard Ae Mohabbat Ka Maja,
Savarg Mein Aaram Hi Aaram Hai,

Kar Liya Boo Se Apna Dil Asir,
In Gulandamo Ka Achha Daam Hai,

Dil Khun Se Tar Aankh Mein Aansu Nahin,
Sisha Hain Labrej Khali Jaam Hai,

Woh Jalata Bhi Hai Khud Jalta Bhi Hai,
Jaante Ho Daag Kiska Naam Hai…

Mit Gaya Dard Ae Mohabbat Ka Maja

Woh Sochti Hai Ki Pyar Me

Woh Sochti Hai Ki Pyar Me Shirf Wohi Udas Hai Yaaro,

Kaise Batayen Use Ki Hum Kayi Raaton Se Theek Se Soye Nahin,

Or Kitni Baar Humne nhi Yaad Mein Aansu Bahaye Hain,

Kya Karein Kambakhat Aansu Rahte Nahin Gir Ke Sukh Jaate Hain,

Varna Hum Unhe Apne Aansu Dikha Ke Apni Mohabbat Ke Bade Sabut Dete…

Woh Sochti Hai Ki Pyar Me

Aahon Ke Badal Kyu Dil Mein

Aahon Ke Badal Kyu Dil Mein Bin Barse Hi Lout Gaye,

Abke Baras Saawan Ka Mahina Kaisa Pyasa Pyasa Gaya,

Mujhko Un Sachhi Baaton Se Apne Jhoot Bahut Pyare Hain,

Jin Ki Sachhi Baaton Se Sadiyon Insaano Ka Khoon Baha,

Yaaro Sona Chandi Bokar Sana Chandi Kaato, Jaao,

Hamne Aansu Ki Kheti Kar Nain Nagar Aabad Kiya Hai…

Aahon Ke Badal Kyu Dil Mein

Uski Aankhon Sa Uske Gesu Sa

Uski Aankhon Sa Uske Gesu Sa,
Mera Sara Kalam Khusboo Sa,

Meri Palkon Par Jhikmilata Hai,
Raat Bhar Ek Naam Jugnu Sa,

Kitni Muddat Ke Baad Tujhse Mile,
Muskarata Hai Pyar Aansu Sa,

Uski Aankhon Sa Uske Gesu Sa

Mera Us Se Wada Tha

Mera Us Se Wada Tha Ghar Rahne Ka,
Apni Chhat Ke Niche Sukh Dukh Sahne Ka,

Baaris Baaris Kachhi Kabr Ka Dhulna Hai,
Jaan Leva Ehsaas Akela Rahne Ka,

Ab Ke Aansu Aankhon Se Dil Mein Utre,
Rukh Badla Dariya Ne Kaisa Bahne Ka,

Jagmag Jagmag Hire Jaisi Aankho Mein,
Ek Ajib Gubar Haweli Dahne Ka…

Mera Us Se Wada Tha

Mohabbat Se,Inayat Se

mohabbat se, inayat se, wafa se, chot lagti hai
bikhrata phool hun mujhko hawa se chot lagti hai,

meri aankho mein aansu ki tarah ek raat aa jao
taklluf se banavat se ada se chot lagti hai,

main sabnam ki jubaa se sabnam ki aawaj sunta hu
ajab ahsas hai apna sada se chot lagti hai

tujhe khud apni majboori ka andaja nahin shayad
na kar ahad e wafa, ahad e wafa se chot lagti hai…

Mohabbat Se,Inayat Se

Jab Se Is Dil Ko Lagaya Hai

Jab Se Is Dil Ko Lagaya Hai,
So Bhi Toh Hum Nahi Paate Hain,

Hansana Toh Kab Ka Bhool Chuke Hain,
Aansu Bhi Toh Ab Nahi Aate Hain…

Jab Se Is Dil Ko Lagaya Hai

Rooye Hain Sabhi Toh Aakar

Rooye Hain Sabhi Toh Aakar Lash Par Hamari,
Magar Unhone Do Aansu Bhi Na Bahaaye Hain,

Hamein Kiya Barbad Loota Hai Jis Jaalim Ne,
Door Khade Hokar Dekho Woh Muskaraye Hain…

Rooye Hain Sabhi Toh Aakar

Main Tumko Bhool Bhi Sakta Hun

Main Tumko Bhool Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye,
Jara Sa Jhoot Jaruri Hai Daataa Ke Liye,

Mere Labon Par Koi Boond Tapki Aansu Ki,
Yeh Katra Kafi Tha Jalte Huye Makaan Ke Liye,

Main Kya Dikhaun Mere Taar Taar Daman Mein,
Na Kuchh Yahan Ke Liye Na Kuchh Vahan Ke Liye,

Gajal Bhi Is Tarah Uske Saamne Laya Hun,
Ki Jaise Bachha Koi Aaye Imtehaan Ke Liye…

Main Tumko Bhool Bhi Sakta Hun

Hum Markar Bhi Dikha Denge

Hum Markar Bhi Dikha Denge Unke Liye,
Kya Woh Fir Bhi Na Humko Chahenge,

Jab Jalaya Jaayega Sagar Unke Saamne,
Kya Hamare Liye Do Aansu Bhi Na Bahayenge…

Hum Markar Bhi Dikha Denge

Musafir Hoon Yahan Se

Musafir Hoon Yahan Se Kal Chala Jaunga Main,
Jaane Kis Kis Rahguzar Ki Thokren Khaunga Main,

Chalte Chalte Thak Gaya Hoon Khoob Sone Do Mujhe,
Aansuon Se Zindaghi Ke Daagh Dhone Do Mujhe,

Aish O Isharat Apna Khota Hoon Toh Khone Do Mujhe,
Zindaghi Ki Khoj Mein Paagal Hone Do Mujhe,

Kyunki,
Musafir Hoon Yahan Se Kal Chal Jaunga Main…

Musafir Hoon Yahan Se

Halat Hi Aisi Hai Ke

Halat Hi Aisi Hai Ke Aansu Chhalak Aate Hain,
De Kar Ke Muhko Gham, Sabhi Dil Ko Dukhate Hain,

Main Aaj Tak Na Samajh Paya Hun Mere Khuda,
Mere Kiye Ehsaano Ko Sab Kyu Bhool Jaate Hain…

Halat Hi Aisi Hai Ke

Ehsaas Bohut Hoga Jab

Ehsaas Bohut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
Royenge Bohut Magar Aansu Nahi Aayenge,

Jab Saath Na De Koi Toh Awaaz Humein Dena,
Aasmaan Per Bhi Honge Toh Laut Aayenge…

Ehsaas Bohut Hoga Jab

Teri Yaadon Ke Sahare

Teri Yaadon Ke Sahare Duniya Mein Rah Lete Hai,
Teri Juddai Ka Gam Chupchap Sah Lete Hai,
Samjhaya Dilko Yeh Raaz Chupana Hai,
Par Aansu Banke Wo Sab Kah Dete Hai…

Teri Yaadon Ke Sahare

Tujhe Dekhe Bina Teri Tasveer

Tujhe Dekhe Bina Teri Tasveer Bana Sakta Hoon,
Tujhse Mile Bina Tera Haal Bata Sakta Hoon,
Hai Meri Dosti Mein Itna Dum,
Apni Aankh Ka Aansu Teri Aankh Se Gira Sakta Hoon…

Tujhe Dekhe Bina Teri Tasveer

Agar Yeh Jeevan Jal Bhi Jaye

Agar Yeh Jeevan Jal Bhi Jaye,
Too Aansu Na Bahana Toh Eh Dost,

Zeevan Chaahe Tadap Bhi Jaaye,
To Phir Bhi Naa Tu Pyar Jataana….

Agar Yeh Jeevan Jal Bhi Jaye

Har Aag Bujh Jati Hai

Har Aag Bujh Jati Hai Barsat Mein,
Magar Dil Ki Aag Na Bujh Saki,

Aansu Ka Paani Girta Raha,
Phir Bhi Dekho Yahan Jalti Rahi…..

Har Aag Bujh Jati Hai

Jaane Meri Aankhon Se

Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Bah Gaye,
Insaano Ki Bheed Mein Bhi Dekho Tanha Rah Gaye,

Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein,
Aaj Wohi Sanam Mujhe Bewafa Kah Gaye….

Jaane Meri Aankhon Se