Har Chand Sitare Me Teri Tasver Nazar Aayi,
Phir Is Tanha Raat Me Teri Tasveer Nazar Aayi,
Door Tujhse Reh Kar Yeh Sans Tham Chuki Thi,
Jo Kahi Naam Tera Aaya To Saans Chali Aayi…
Teri Tasvir Aankho Me Basi Kyu Hai
Jidhar Dekhu Udhar Tu Hi Kyu Hai,
Teri Yado Se Taqdir He Meri,
Lekin Tujhe Na Pakar Taqdir Ruthi Kyo Hai…
Har pal teri sochoo main gum rehta hon,
din ho ya raat ho bass teri Tasveer dekhta rehta hon,
tu kya janey meri iss bebasi ka alam,
tere bina mar mar ker jeeta hoon..
Zindagi Ki Har Khuwahish tere naam kar denge,
yaad aaye teri to milney ki Faryad kar denge,
mitne na doonga teri tasveer is dil se,
gar aisa hua to khud ko mita kar,
yeh saansain tere naam kar denge..
Bhale Hi Kisi Gair Ki Jaagir Thi Wo,
Par Mere Khwabon Ki Tasveer Thi Wo,
Mujhe Milti To Kaise Milti,
Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Thi Wo…
Lagtaa Hai Kai Raaton Se Jaagaa Tha Musavvir
Tasveer Ki Aankhon Se Thakan Jhaank Rahi Hai
Ik tasveer toh de jaate vo hamein jaate jaate,
mujhe dil ka haal toh bata dete vo jaate jaate,
ab kya pata phir mulaqat kab ho hamari,
kaash haath hi mila lete vo jaate jaate..
Lehre hui zulfo main rahgeer geravat to dekho,
Dil kyo na girftar ho janjeer to dekho,
Fir sokh se kah lena deewana logo,
Pehle mere mehboob ki tasveer to dekho.
Khushaamad Ai Dil-E-Betaab Is Tasveer Ki Kab Tak
Ye Bolaa Chaahti Hai Par Na Bole Gi Na Boli Hai
teri Tasveer har waqt mere sath sath hai,
tu mere har waqt aas pass hai,
mai jaha khayi bi jao jana,
tum meri roh Main base ho,
tera wajood mere pass pass hai…
Taab-E-Nazzaara Nahin Aaina Kya Dekhne Doon
Aur Ban Jayenge Tasveer Jo Hairaan Honge
Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki Shokhi-E-Tahreer Ka,
Kaaghazi Hai Pairahan Har Paikar-E-Tasveer Ka..
Meri tasveer bnana to sab rang bharna muhabbat k,
Lekin jab aankhen bnana to aansu rawan rakhna.
Aap Ne Tasveer Bheji Main Ne Dekhi Ghaur Se
Har Ada Achchhi Khamoshi Ki Ada Achchhi Nahin
Ek-Ek Tara Jod Teri Tasveer Banai Hai,
Koi Dekh Na Le Isliye Dil Me Chhipai Hai,
Dil Se Tu Meri Nas-Nas Me Samai Hai,
Iss Liye Teri Tasveer Hum Ne Dil Me Basai Hai…
Tere Laut Aane Ka Intezar Karte Hain,
Dekho Hum Tumse Kitna Pyar Karte Hain,
Hum Banate Hain Kagaz Per Tasveer Teri,
Fir Us Se Baatein Hum Hazaar Karte Hain……
Ham Ne Dikhaa Dikhaa Teri Tasveer Jaa-Ba-Jaa
Har Ik Ko Apni Jaan Ka Dushman Banaa Liyaa
Dil mei hai tasveer tumhari,
Aur ansuoon ke railay hai,
Tumhe kese bataye ki,
Tum bin hum kitne akele hai..