Aaj dil puch baitha apni hi tasveer se,
tune kya paya hai taqdeer se,
teri tasveer dil me basa ker mene kaha,
ye pyara sa dost paya he duniya ki bheed se..
Chahat Hamari Hogi Ek Geet Ki Tarha,
Rab Khud Hume Milaayega Ek Jeet Ki Tarha,
Rang Zarur Laayengi Hamaari Ye Duayen,
Hum Rehne Naa Denge Tujhe Kisi Tasveer Ki Tarha.
Muddaton Pehle Jab Tujh Se Taarruf Bhi Na Tha
Teri Tasveer Banaate The Khayaalat Mere
Gam Na Karna Kabhi Zindgi Me,
Kyuki Taqdeer Badalti Rehti Hai,
Shesha Wahi Rehta Hai,
Bas Tasveer Badalti Rehti Hai…
Kal Raat Sapne Mein Teri Tasveer Banna Dali,
Itni Achi Laggi Ki Dil Se Lagga Dali,
Phir Darr Laga Koi Chura Na Le,
Tab Itna Roiya Ki Aansuo Se Mita Dali.
Sunaat Ke Musavvir Ne Sabaahat Ke Safeh Par
Tasveer Banaai Hai Tere Noor Ko Hal Kar
Rang Wale Rang Se Tasveer Badal Dete Hain,
Nikle Hue Kamaan Se Teer Badal Dete Hain,
Tumse Mere Do Aansu Na Badle Gaye,
Badalne Wale To Taqdeer Badal Dete Hain..
Aaine ki haqiqat tasveer kaise batyegi,
Tute dil ki hasrat janjeer na kah payegi,
Hausla rakhna yeh kahte hai sabhi log duniya mein,
Per kya hausla rakhne se taqdeer badal jayegi?
Ham Un Ki Tasveer Dil Men Chhipaaye Baithe Hain
Veeraan Zindagi Mein Ek Gul Khilaaye Baithe Hain
Na tasvir hai uski,
jo didar kiya jaye,
Na pas hai vo, k use pyar kiya jae,
Ye kesa dard diya hai us bedard ne,
Na usse kuch kaha jaye, Na uske bin raha jaye..
Nishane Per Jo Lag Jaaye Use Kehte Hain TEER,
Dil Mei Jo Utar Jaaye Use Kehte Hain TASVEER,
Aap Jaiso Ka Saath Mil Jaaye Use Kehte Hain TAQDEER.
Meri Tasveer Mein Rang Aur Kisi Kaa To Nahin
Gher Len Mujh Ko Sab Aa Ke Main Tamaasha To Nahin
Chehre Pe Ashko Ki Lakeer Ban Gayi,
Jo Na Chaha Tha Wo Takdeer Ban Gayi,
Humne To Chalayi Thi Ret Per Ungli,
Gaur Se Dekha To Unki Tasveer Ban Gayi..
Juda Hai To Kya Hua Doori To Nahi,
Baat Bhi Na Ho Aisi Majboori To Nahi,
Nazar Nahi Aate Ho Aap To Kya Hua,
In Aankho Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi.
Dil Gaya Tha To Ye Aankhen Bhi Koi Le Jaataa
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Dekhoon
Meri aarzu hai tu,
meri justju hai bus tu,
in tasveero se puch lena,
meri bandgi hai sirf tu..
Unki Tasveer Me Unke Bikhre Baal Dekhe,
Bekarar Aankhe, Bebas Haath Dekhe,
Bekarar Ho Gaye, To Unke Ghar Chale Gaye,
Magar Afsos, Unke Ghar Ke Darvaje Hamne Apne Liye Band Dekhe..
Chand Tasveer-E-Butaan Chand Hasinon Ke Khutoot
Baad Marne Ke Mere Ghar Se Ye Saamaan Niklaa
Haadise Aur Bhi Guzre Teri Ulfat Ke Sivaa
Haan Mujhe Dekh Mujhe Ab Meri Tasveer Na Dekh
Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz,
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai,
Baki to gume zindgi insaan, Tasveero ka mohtaj hota hai..