Dil Ke Kisi Kone Mein Ab Koi Jagah Nahi,
“E-Sanam”
Ke , Tasveer Humne Har Taraf Teri Laga Di…
Insaan Ki Tasveer Nayi Ho Ke Puraani,
Matloob Mujhe Husn Hai Aur Husn-E-Ma’ani,
Kabhi Kabhi Hamein Bhi Yaad Kar Liya Karo,
Hamari Tasveer Bhi Dekh Ke Choom Liya Karo,
Maana Ke Tumhe Kisi Cheez Ki Kami Nahin Hai,
Par Hamein Bhi Kabhi Apni Dua Mein Shamil Kiya Karo..
Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye,
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye,
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari,
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye..
Tum Saraapa Ho Surat-E-Tasveer,
Tum Se Phir Baat Kya Kare Koi,
Jis Main Laakhon Baras Ki Huren Hon,
Aisi Jannat Ko Kya Kare Koi.
Tera khwaab palkon pe apni saja kar,
Kabhi dekhen tujhko bhi apna bana kar,
Bana kar ke tasveer ashkon se teri,
Bharein rang usmein lahoo hum baha kar..
Ye Baat Alag Haath Kalam Ho Gaye Apne,
Ham Aap Ki Tasveer Banaanaa Nahin Bhoole.
Botal Main Sharab,
Sharab Main Uski Tasveer Nazar Aati Hai,
Nahi Peeta To Nasha Chala Jata Hai,
Peeta Ho To Uski Tasveer Chali Jati Hai..
Sangmarmar Ke Mahal Mein,
Teri Tasveer Sajauga,
Mere Is Dil Mein Ae Pyar,
Tere Hi Khwab Sajaunga,
Yun Ek Baar Aajma Ke Dekh,
Tere Dil Mein Bas Jaunga,
Main Toh Pyar Ka Pyala Hun,
Teri Hi Yaad Mein Mar Jaunga..
Mila Jawaab Ke Tasveer-Khaana Hai Duniya,
Shab-E-Daraaz Ad’m Ka Fassaana Hai Duniya.
Tasveero ko dekhoge hamara hi chehra najar aaega,
jo karoge aankhe band bitne lamho ki yaad dilaega.
Ghar Se Bahar Wo Neqab Mai Nikli,
Sari Gali Uski Talash Mai Nikli,
Inkaar Karti Thi Wo Hamari Mohabt Se,
Aur Hamari Hi Tasveer Unki Kitaab Se Nikli.
Bane Huye Hain Woh Mehfil Mein Soorat-E-Tasveer
Har Ek Ko Yun Gumaan Hai Ki Idhaar Ko Dekhte Hain
Nigaho Me Tum Humko Bitha Lo,
Dil Me Tum Hume Hi Basa Lo,
Pyar Itna Kro Ki Hum Bhool Jayein Sabko,
Humari Wafa Ki Tum Tasveer Bana Lo..
Kuch Log Yadon Ko Dil Ki Tasveer Banate Hai,
Doston Ki Yadon Me Mehfil Sajate Hain,
Hum Thode Alag Hai Jo Kisiko Yad Anne Se Pehle,
Unko Apni Yad Dilate Hai!.
Javaani Kya Hai Goya Ek Tasveer-E-Muhabbat Ke
Jis Mein Rangon Ki Evaz Khoon-E-Jigar Bharte Hain
Tasveer Hai Khinchi Hui Naaz-O-Niyaaz Ki,
Main Sar Jhukaaye Aur Woh Khanjar Liye Huwe…
Pani Se Tasvir Kaha Banti Hai,
Khwabo Se Takdir Kaha Banti Hai,
Kisi Ko Chaho To Sacche Dilse,
Kyunki Ye Zindgi Phir Kaha Milti Hai.
Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Ghark Hone Ko Bhi Tasveer Ka Lahjaa Chaahe