Din ki ye tapti dhoop,
Us par ye aapki baatein khoob,
Dil se muskurate mere mehboob,
Dekha nahi pehle aapka ye sunehra roop.
Hum na hote to gazal kaun kehta,
Tere iss chere ko kamal kaun kehta,
Yeh to karishma hai meri mohabbat ka,
Varna in pattharon ko taj mahal kaun kehta.
Aapko dekh kar aati hai baharein,
Aapko dekh kar chhate hai sitare,
Aap hi ko dekh kar khil jate hai phool,
Lagta hai aapko banane mein Nahi hui rab se thodi si bhi bhool.
Aasmaan me jab bhi baadal garajta hoga,
Mausam bhi apna rang badalta hoga,
Uthti hogi jab-jab aapki nigahein,
Khuda bhi gir-gir ke sambhalta hoga.
Na tasvir hai tumhari jo didar kiya jaye
na tum paas ho jo pyaar kiya jaye
ye kaun sa dard diya hai aap ne
na kuchh kaha jaye, na tum bin raha jaye.
Musqurate Hain To Bijliya Gira Dete Hain,
Baat Karte Hain To Deewana Bana Dete Hain,
Husan walo Ki Nazar Kam Nahi qayamat Se,
Aag Pani Me Vo Nazaron Se Laga Dete Hain…!
Chingari ka khauf na dena,
hume apne dil me aag ka dariya basaye baithe hain,
jal jate kab ke is aag mein,
par tere didar ki khatir is dil ko sambhale baithe hain.
Mandir masjid mein dhoondte hain log usey,
Par ibadat hamari sab se sharif hai,
Tujhe banaya hai usne,
Ye uski eklauti tareef hai.
Khamosh Raat Ki Pehlu Mein Sitare Naa Hote,
In Rookhi Aankhon mein Rangeen Nazare Naa Hote,
Hum Bhi na Karte Parwah Agar aap Itne Pyare na hote.
Aankhein hain unki ya hain sharaab ka mehkhana,
Dekh kar jinko ho gaya hoon main deewana,
Honth hain unke ya hain koi raseela jaam,
Jinke ehsaas ki tamanna mein beeti hai meri har shaam.
Khamosh Raat Ki Pehlu Mein Sitare Naa Hote,
In Rookhi Aankhon mein Rangeen Nazare Naa Hote,
Hum Bhi na Karte Parwah Agar aap Itne Pyare na hote.
Kuch nasha apki baton ka hai,
Kuch nasha dheemi barsat ka hai,
Hamein aap yunhi sharabi mat kahiyae,
Yeh dil par asar apkae mulaqat ka hai.
Ek ada aapke dil churane ki,
Ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur,
ek zid hamari chand pane ki.
Pyar ko pyar ka taufa nahi dete,
Dil ko jazbaat ka taufa nahi dete,
Dene ko to hum aap ko chand dete magar,
Chand ko chand ka taufa nahi dete…
khoobsoorat ho tum kisi phool ki tarah,
aankhein hain tumhari kisi hirni ki tarah,
chahek hai tum mein kisi chiriya ki,
mehek hai tum mein kisi gulaab ki,
dua karte hain hum rab se sada,
yun hi barkarar rahe hamesha tumhari har ada.
Nigahein aapki pehchan hai hamari,
muskurahat aapki shaan hai hamari,
khyal rakhna apna kyon ki saanse aapki jaan hai hamari.
Bari mushkil me hu,
mein kaise izhaar karu,
tu to khushbu hain,
tujhe kaise giraftar karu.
Jab Utari Kagaj Pe Kalam to Ubhri Ek Masoom Se Soorat,
Gaur Se Dekha Palak Jhapkakar to Nikli Aap Ki Soorat
Phir Lage Kalam Se Char Chand to Nikhar Gayi teri Soorat
Gusse Mein Jo Nikhraa Hai,
Iss Roop Ka Kya Kehnaa,
Kuch Dair Abhi Mujh Se,
Tum Yun Hi Khaffaa Rehnaa…!
HUMNE TERE KHYAAL KI TITTLI DABOOCH LI,
SAB RANG KAYANAAT K MUTHI MAIN AA GAYE.