Shayar to hum hai shayari bana denge,
aapko shayari me qaid kar lenge,
kabhi sunao hume apni aawaz,
aapki aawaz ko hum ghazal bana denge.
Yaadon ki nazrein tumpe hain,
Phulon ki mehek tumse hain,
Chaahat ki saans tere liye,
Harpal ki shayari bhi tere liye,
Ek saans to kuch bhi nahi,
Hazaar jeevan kaafi kam hain
Ek nazar hai tu deedar ke liye,
ek lamha hai intezaar ke liye,
ek khwab hai tu jise meri aakhen dekhe,
ek tasveer hai tu bus pyaar ke liye.
Tum ko pana zindagi Tujhko khona maut hai,
Or kuch iske siva mere fsaane me nahi,
Mang lunga mai khuda se ya chura lunga tujhe,
Tujsa moti dusra uske khzane me nahi…
Taras gaye apke deedar ko,
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai,
jo har roz apke husn ka deedar karta hai.
Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
jo do pal mein utar jayegi,
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
jo umar bhar naa utar payegi…!
Khoobsurat ho tum badi nazuk ho tum,
Shayad badi nazaqat se banaya hoga rab ne tumhe,
Khoobsurati ki inteha ho tum.
Pyara sa ehsas ho tum,
har pal mere pas ho tum,
Jine ki ek aas ho tum,
mann ka ek vishwas ho tum,
Shayad is liye,
Kuch khas ho tum…!
Thi woh koi ladki ya thi woh koi bala,
dil uski khoobsoorti mein toh hai bas dhala,
kuch lamho ke deedar ke aage na ye dil chala,
jaise hua koi jadoo ya dikhayi kisi ne kala.
Na khwabon me dekha,
na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha.
Pakar tumhe sapne sach lagne lage,
ajnabi se the jo kabhi aaj apne lagne lage,
hota nahin yakin khud ki kismat par,
dhadkane hote bhi woh Jaan lagne lage.
Humne socha tha ki shayad,
hum hi chahte hai tumko,
par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par khuda bhi tera chahne wala nikla…
Aapki hasi pe chhidakte hai jaan,
Aapki khushi pe to hai sab kuch kurbaan,
aapke bin to ye jaha lage veeran,
Kyuki aap toh ho jaise is dil ka gulistaan.
jab bhi khayal aaya to apka aaya,
ankein band ki to khawab aapka aaya,
socha yaad kar lu khuda ko pal do pal,
par honth khule to naam aapka aaya.
Apka naam to jaise ban gaya hai dil ka jaam,
aapki yaad se hi ho jata hai ye dil aabad,
aapki khawish se hi chahta hai dil mein junoon,
aur aapki khushi mein he dil ko milta hai sukoon.
Fiza mein mehakti ek shaam ho tum,
Pyar mein chalakta jam ho tum,
Seene main chupaye phirte hai hum yaad tumahari,
Meri zindagi ka dusra naam ho tum…!
AARZO HAI TUMHE PAANE KI,
AUR KOI CHAHAT NAHI DEEWANE KI,
SHIKWA MUJHSE NAHI KHUDA SE KARO,
KYA ZAROORAT THI TUMHE KHOBSURAT BANANE KI.
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe Dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai
Dil ki nahi jaan ki jarurat ho tum
zami ki nahi aasmaan ki inayat ho tum
aur ab hum kya aapki tareef kare
husn ki nahi kayamat ki murat ho tum.
Is badan mein lahoo si samai ho tum,
ik hasin khwab jeewan mein layee ho tum,
tum meri jaan ho aur kya hai mera,
tum ibadat ho meri khudayi ho tum.