Aasman humse naraz hai,
Taaron ka gussa behisaab hai,
Wo sab humse jalte h, kyunki,
Chand se bhi behtar, aap humare pass hai.
Tere Aane Ki Jab Khabar Mehke,
Teri Khushbu se saara ghar mehke,
Sham Mehke tere tasavvur se,
Shaam ke baad fir seher mehke,
Tere Aane Ki Jab Khabar Mehke,
Teri Khushbu se saara ghar mehke,
Wo ghadi do ghadi jahaan baithe,
wo jagah mehke wo seher mehke,
Tere Aane Ki Jab Khabar Mehke,
Teri Khushbu Se Saara Ghar Mehke.
Tujh Ko Dekha Toh Phir Us Ko Na Dekha Hum Ne…
Chaand kehta He Raha Main Chaand Hoon Main Chaand Hoon..!
Aankhein Hain Jheel Si
Yaa Koi Bhanvar Hai
Aur Ushpey Bindiyaa Jaise Ghazab Ki Sanvar Hai
Hai Ish Qadar Unki Adaon Main Khumari Ke
Jahan Bhi Jaate Hein Hota Bas
Ajeeb Hi Manzar Hai
Jaane Kya Hoga Vo Jab Aayenge Beparda Nazar
Abhi SeY Hai Haal Yhi Jabki
Wo Andar Hai…
अब मै समझा तेरे , रुकसार पे तिल का मतलब ,,
दौलत -ए-हुस्न पे दरबान बिठा रक्खा है ..
Kaise kahe ke aap kitni khubsurat hai,
Kaise kahe ke hum aap pe marte hai,
Yeh to sirf mera dil hi janta hai,
Ke hum aap pe hamari jawani qurban karte hai…
Aapki Aankhein Uchi Hui To Dua Ban Gai
Neechi Hui To Haya Ban Gai
Jo Jhuk Kar Uthi To Khata Ban Gai
Aur Uth Kar Jhuki To Ada Ban Gai…
mere jeene ke liye tera armaan hi kaafi hai,
dil ke qalam se likhi ye dastaan hi kafi hai,
teer-e-talwaar ki tujhe kya zaroorate hai nazneen,
qatl karne ke liye teri muskaan hai kafi hai…
Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai,
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai,
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe,
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai…
Ye Baadal Aur Kuch Nahi,
Teri Aankhon Ki Kaajal Hain Ye Bijli Aur Kuch Nahi,
Teri Aaneki Aahat Hain Ye Maausam Aur Kuch Nahi,
Teri Aanchal Ki Khushboo Hain Iss Dil Mein Aur Kuch Nahi,
Tuje Paane Ki Chaahat Hain Aur Kuch Nahi.
Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti,
Kaash Aapse Mulakat Hamaari Na Hoti,
Sapno Mein Hi Dekh Lete Hum Aapko,
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti…
Pyaar Ke Raaste Tum Chand Ho
To Meri Zindagi Ki Roshni,
Tum Jhal Ho To Mere Jheene Ki Waje,
Tum Sapna Ho To Sirf Mere Waaste
Tum Tum Ho To Tum Hi Raho,
Kyon Ki Tum Aur Sirf Tumhi Ho Mere Pyaar Ke Raaste…!
Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai…
Tum har taraf pyar se dekha na karo,
har taraf pyar ki ek kahani banegi,
nazar jo jhuki to sayari nayi banegi,
nazar jo uthi to gazal dil ki zubani banegi…!
Kasam khudha ki jisne aap ko banayaa,
Ang Ang mein sundartha poore badan mein husn samayaa.
Aye khuda apne chand pe itna gururr na kar,
ek chand sa dost hum bhi rakhte hai,
jab tarif hoti hai tere chand ki,
log misal mere chand ki dete hai
Teri lehrati julfe na jane kya kehti hai,
teri jhuki nazro ko dekhkar log kya kehte hai,
humne suni hai aapki taarif apne kaano se,
log to aapko Taj Mahal kehte hai.
Haseen to aur bhi hai is jahan mein maula ,
par jab usne apna ghonghat khola ,
to chand bhi mujhse sharma ke boola,
ye raat ki chandni hai ya din ka shola…
Uske chehre me kuchh na kuchh jaroor tha
bin piye main nashe me choor tha
uska chehra bhi kamal ka ek phool tha
jiski khushbu se mehaka mera naseeb tha.
Hasi Phoolon ko aati hai,
Jab aap muskurate ho,
Humari duniya badal jati hai,
Jab aap muskurate ho,
Aapki muskurahat ke aage bhalaa,
kya chand ki rounak,
Huzur khud chand bhi sharmaataa hai,
jab aap muskurate ho.