Khud Me Hum Kuch Is Tarah Kho Jate Hai,
Sonchte Hai Aapko To Aapke Hi Ho Jaate Hai,
Nind Nahi Aati Raton Me Par,
Aapko Khwab Me Dekhne Ke Liye So Jate Hai.
Khuda Ne Mujhse Kaha,
Ishq Na Kar Tu Deewana Ho Jayega,
Maine Kaha Aey Khuda,
Tu Un Se To Mil, Tujhe Bhi Ishq Ho Jayega.
Mana ki tere sehar mai garib kum honge,
Agar biki teri dosti to pehle khariddar hum honge,
Tuje khabar na hogi teri kimat par,
par Tuje paakar sabse ameer Ham honge.
PHOOL KHILKAR UDAAS HAI,
SAMANDAR KO AAJ PAANI KI PYAAS HAI,
EK BAAR AAP MUSKURA DO SANAM,
KYONKI KHUDA KO DUNIYA KI,
SABSE “KHUBSOORAT” HANSI KI TALAASH HAI…
Teri Ankhain jab jhuki to hya ban gyi,
Teri Ankhain jab jhuk kar uthi to nasha ban gyi,
Hame to pta hi nhi chala ae dost,
kab is dil Mein tumare liye jgha ban gyi……..
ek khubsurat si shaam jaise hote hai,
azmaat ke unche mukaam jaise hote hai,
banke kiran woh bikherte hai roshni,
kuchh log apne hi naam jaise hote hai…!
Wafa ke rang me dubi har sham tere liye,
Ye dagar, ye nagar mera naam tere liye,
Tu mehkati rahe chandni raton ki tarah,
Iss nayi subha ka paigam tere liye,
Apne hotho par sajana chahta hun,
Aa tujhe main gungunana chahta hun,
Koi aansu tere daman par girakar,
Bund ko moti banana chahta hun,
Aakhari hichki tere jane pe aaye,
Maut bhi main shayrana chahta hun…!
Mohabbat ka matlab intezaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yun to milta h roj mohbaat-e-paigam,
Pyar jindagi h jo har baar nahi hota.
ye kaun aa gai dilruba mehki mehki,
fizaa mehki mehki hawa mehki mehki,
vo aankhon mein kajal vo baalon mein gajra,
hatheli pe uske hina mehki mehki,
khuda jane kis-kis ki ye jaan legi,
vo qatil ada vo saba mehki..
Mein kuch lamha or tera sath chahta hu,
Jo aankho mein bas jaye wo barsaat chatha hu,
Suna h wo mujhe bahut chahta hai,
Bas ek baar mein use sunna chahta hu.
Kya Kahu Itna Khubsurat Chehra Hai Tumhara,
Yeh Dil To Bus Diwana Hai Tumhara,
Sab Kehte Hain Chand Ka Tukda Tumhe,
Mujhe Lagta Hai Chand Bhi Tukda Hai Tumhara.
Tumhare apnepan par naaz hai humein,
Kal tha jitna bharosa utna aaj h humein,
Apna wo nahi jo khusi me sath de,
Apna wo jo har pal apnepan ka eshaas de.
Ye hawa apki hansi ki khabar deti hai,
Mere Dil ko khusi se bhar deti hai,
khuda salamat rakhe apki hansi ko,
kyu ki apki Khusi hume zindgi deti hai
Jante hai sab fir bhi anjaan bante hai,
Iss tarah wo humein pareshan karte hai,
Puchthe h humse ki tumhe kya pasand hai,
Khud jawab hokar ye sawal karte hai.
Chehra tera chan ton vi sohna,
sohni hai teri chaal sohniye,
tikhe nain katari varge,
lai gaye ne dil mitraan da naal sohniye.
Kya Mangu Khuda Se Aapko Paane Ke Bad
Kiska Karu Intezar Aapke Aane Ke Bad
Kyu Dosto Pe Jan Lutate Hai Log
Malum Hua Aapko Dost Banane Ke Bad.
Raat me jugnu ki jagmgahat,
asma me taro ki zilmilahat,
thandi vadio me hawao ki sarsrahat,
in sabse bhi khubsurat hai apke chehre ki muskrahatâ
Yaad Karne Ke Liye Koi Cheez Chahiye,
Aap Nahi To Aap Ki Tasveer Chahiye,
Par Aap Ki Tasveer Hamara Dil Bhehla Nahi Sakti,
Kyonki Wo Aap Ki Tarha Muskura Nahi Sakti
Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke,
too uhin ruk jaye hamari nazar ye itni sasti nahi,
koi hoor, koi noor ya koi jannat ki pari ho to kya,
dava hai hamara tik jaye tere samne aisi koi hast nahi