Zindagi Ka Har Khwab Haqiqat Ban Jaye,
Khushi K Chirago Se Zindgi Roshan Ho Jaye,
Mehak Jaye U Zindagi Apki,
Ki gulab Ki Khushbu Bhi Apke Samne Feeki Pad Jaye.
Soch raha tha ke jawab kya bheju,
aap jaise dost ko toofa kya bheju,
guldasta bhejna to bewakufi hogi,
kyu k jo khud gulab hai use gulab kya bheju
Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardan (neck) ko phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
Kaun sa phool pesh karu,
Koi phool gulab nahin,
Aap to khud ek gulab hain,
Jiska koi jawab naheen…
Barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me.
Mein Tod Leta Agar Tum Gulab Hoti,
Main Jawab Banta Agar Tum Sawal Hoti,
Sabhi Jante Hai Ki Mein Nasha Nahi Karta,
Fir Bhi Pee Lete Agar Tum Sharaab Hoti..!
Phulo Mein Haseen gulab Hai,
Parhai Ke Liye Zaroori Kitaab Hai,
Duniya Me Har Sawal Ka Jawab Hai,
Agar Koi Tumse Mere Bare Me Puche To Kehna Wo Lajawaab Hai.
Patti patti gulab kya hogi,
Har kali meharkhwab kya hogi,
Jisne dekhe ho lakho haseen,
Uski neeyat kharab kya hogi.
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…