Ek dost ka wada hai marte dum tak saath nibhayenge,
Maut aaye to tumse pehle hum jayenge,
Tumko na bhool payenge,
Isi liye tumko bhi saath le jayenge.
Gham Ke Sanjog Ache Lagte Hain,
Ab Mushakil log Ache Lagte Hain,
Us Se Kehna Koi Waada Wafa Na Kare,
Mujhe Ab Bewafa Log Ache Lagte Hain
Main tujhse aaj ek waada karta hun,
Ki main saare wadein nibhaunga,
Per ek Waada mujhe tujhse bhi lena hai,
Jo tuh gar kabhi mujhe dard de ..
Bass ye keh dena ki tuh anjaan tha,
Varna main Jeete Ji marr jaunga !!
Wada Karo Toh Poora Karo,
Iraada Karo Toh Poora Karo,
Koi Bhi Na Kaam Adhoora Karo,
Pyar Karo Toh Poora Karo.
Tum Udas Udas Se Lagte Ho,
Koi Tarkib Batao Manane Ki,
Promise Hai Tumse Main Zindagi Girvi Rakh Sakta Hu,
Tum Keemat Batao Muskurane Ki.
Khusbuon ki tarha meri har saans mein
pyaar apna basane ka wada karo
rang jitne tumhari mohabbat ke hain
mere dil mein sajane ka wada karo
jab Bhi Milti Hai Lipat Ke Roti Hai
Zakhmo Mein Apne Simat Ke Roti Hai
Jaane Ka Wada Karti Hai Meri Zindagi Se
Magar Jate-Jate Palat Ke Roti Haiā¦
Koi Wada Nahi Phir Bhi Tera Intezar Hain,
Judai Ke Baad Bhi Tujhse Pyaar Hain,
Tere Chehre Ki Udasi De Rahi Hai Gawahi,
Mujhse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hain
Unka Waada Hai Ke Wo Laut Aayenge
Isi Ummeed Par Ham Jeeye Jayenge
Yeh Intezaar Bhi Unhi Ki Tarah Pyara Hai
Kar Rahe The Kar Rahe Hein Aur Kiye Jayenge
Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge,
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge,
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana,
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge.
Wo Jo Diwani Thi Mujhe Tanha Chod Gayi
Khud Na Ruk Saki To Apna Saya Chod Gayi
Dukh Na Sahi Gum Is Baat Ka Hai
Aankho Se Karke Wada Honto Se Tod Gayi
Dil Lagi Thi Usse Hum Se Mohabbat Kab Thi
Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi
Hum The Mohabbat Main Lot Jane K Qabil
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi
Tere Waade Pe Hum Ne Bharosa Kiya
Kuchh To Ulfat Ka Tum Bhi Haq Nibhaaya Karo
Hum Bhi Hamraaz Hain Tum Bhi Hamraaz Ho
Dil Ki Baat Humse Na Chhupaaya Karo..!!!
Tere Chehre Par Tabassum Ho,
Shayad Mumkin Na Ho,
Sada Hum Dono Ka Sath Ho,
Shayad Mumkin Na Ho,
Aaj To Toor De Sare Fakhar-o-Naaz,
Apne Kal Milne Ka Wada Tum Se,
Shayad Mumkin Na Ho.
Ye wada hain humara,
Na chodenge kabhi sath tumhara.
Jo gaye tum hume bhool kar kahi,
Le ayenge pakad kar hath tumhara.