Koi dard hi na ho mujhe aisa bana do,
mujhe Aap apne hi jaisa bana do,
maayoos hota hoon jab woh todte hai dil,
ek patthar ka dil mere bhi seene me laga do.
Zubaan khamosh ankhon mein nami hogi,
Yahi bas meri ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko toh har zakham bhar jayega,
Kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi.
Mai banjar zameen par bota raha ishq ke beej..
Tera har wada sarkar ke muaawze sa nikla….
Kisi ke vaade par Zindagi tabah kar baithe,
Deewangi mein ye kaisa gunah kar baithe,
Ek chand ki aarzoo ke liye,
Apni haseen raton ko fanah kar baithe..
Wo humare kab they jo beghane ho gaye,
Zara se baat thi kya Fsane ho gaye,
Kya use ilzaam du kya sunaye Haal_e_Dil ab koi hoga naya hum purane ho gaye.
Dard mai har koi muskura nahi sakta,
Apne dil ki baat mai sabko bata nahi sakta,
Yeh roshni lene walo khud mehsus kar lena,
Chirag jal sakta hai lekin apni taklif bata nahi sakta…
kisi ko pyar ki sachhayi mar dalegi,
kisi ko dard ki gaharayi mar dalegi,
Bichhad ke koi jee nahi sakata,
jo bach gaya use tanhayi mar dalegi..
Apni taqdeer mein toh kuch aise hi silsle Likhe hain..!
Kisi Ne waqt Guzarne ke liye Apna bana liya
To kisi Ne Apna bana kar waqt guzar liya..!
Uski Chahat Se Ikrar Na Krte,
Uski Kasmo Pe Aitbar Na Karte,
Pata Hota Hum Sirf Mazak Hai Unke Liye,
Kasam Se Jaan Dete Magar Pyar Na Karte….!.
Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti
Dil Mein Jo Chhupi Hai Who Baat Nahi Samajhti
Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein
Dard Magar Chand Ke Zalim Raat Nahi Samajhti…
Dil pe kya guzri wo anjaan kya jane..
Pyar kise kehte hain wo nadan kyya jane..
Hawa ke sath ghar uda legaya parinde ka..
Kaise basaya tha ghosla wo toofan kya jane..
Bina Dard ke aansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke riste nibhaye nahi jate,
Zindagi me is baat ko yaad rakhna,
Kissi ko rula kar kabhi sapne sajaye nahi jate.
Hum yaad rahe to thik warna bhula dena,
Hui ho hum se koi khata to saza dena,
Hum to ek kore kagaz ki tarah hain,
Kuch likho to thik warna jala dena..
Haskar dekha liya rokar bhi dekh liya
kisi ko pakar khokar bhi dkh liya,
Pyar bhi kiya aur samajh bhi liya
zindagi wahi jee skta hai jisne akele jeena sikh liya
Fasle itne to na pahle hua karte the,
Main wahi hun jise tum apna kaha karte the,
Tum agar bhul gaye Humko to koi baat nahi,
Zakham to pehle Bhi is dil pe laga karte the.
socha tha ki wo bahut toot Kr chahenge hume
lekin ye kya sitam hai jindagi Ka
‘socha’ bhi hum ne
‘chaha’ bhi hum Ne
or’toot’ bhi hum hi gaye.
Vo bante hain humse anjaane yun,
Chhupate hain humse jane kyun,
Ki vo kisi aur se mohabbat karte hain,
Magar kya sache premi bhi dard se darte hain.
Ek Dil-Dil ko zakhm de gaya.
Zindagi bhar jeene ki kasam de gaya.
Lakhon phoolon mein se chuna tha ek phool.
Jo kanto se bhi gahra chubhan de gaya.
Dil ke dard ko chhupana kitna mushkil hai,
Tut ke fir muskurana kitna mushkil hai,
kisi ke saath dur tak jao fir dekho,
Akele laut ke aana kitna mushkil hai…