Na Neend Hai Aankhon Me, Na Hi Koi Hasrat,
Kitna Saada Sa Reh Gaya Hun Mein Tere Baghair.
Neend Aaye To Khawab Aaye
Khawab Aaye To Tum Aaye
Lekin Tumhari Yaadon Mein
Naa Neend Aaye Naa Khawab Aaye
Tabeer Hi Sochte Rahe Adhoore Khawabon Ki
Aur Neend Ankhon Ki Dehleez Par Tarapti Reh Gai…
Tujhe Khawab Hi Me Dekhun Ye Bharam Bhi Aj Toota
Tere Khawab Kaise Dekhun Mujhe Neend Hi Na Ayi…
Saza Yeh Di Ki Aankhon Se Cheen Li Neenden
Qasoor Ye Tha K Jeene K Khawab Dekhe The…
Aj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Me So Na Saku
Yad Phir Aye Hain Neendon Ko Urane Wale…
Neendon Ko Taraste Hain Khawabon K Tamannai
Ek Khawab Ki Aankhon Ne Kya Khoob Saza Pai…
Neend Se Dushmani Nahi Meri
Bas Ek Zid Hai K Nahi Sona…
Dil Ka Rog Tha Na Yadain Thi Or Na Hi Yeh Izhar,
Tere Piyar Se Pehle Ki Neendein Bhi Kamal Ki Thi…
Bas Ek Raat Mulaqat Ka Hua Wadaa,
Wo Din Aur Aaj Ka Din, Neend Phir Nahi Aai…
Wo Bachpan Ki Neend To Ab Ek Khuwab Ho Gai,
Kia Umer Thi Ke Raat Hui Aur So Gaye….
Duniya jise neend kehti hai,
jane woh kya cheez hoti hai,
aankhen to hum bhi band karte hain,
par woh aapse milne ki tarqeeb hoti hai…!!!
Na Neend Hai Aankhon Me, Na Hi Koi Hasrat,
Kitna Saada Sa Reh Gaya Hun Mein Tere Baghair…
Dil Ki Kitaab Ka Panna Churaa Legaye Tum,
Aankhon Se Neendh Uda Legaye Tum,
Teri Yaad Me Tadapne Ki Aadat Nahin Thi,
Mujhe Apni Yaadon Se Tadpaane Sikha Gaye Tum.
Hum neend ke shaukeen jyada to nahin,
Kuch khawab na dekhein to guzara nahi hota…
Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi
Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na Soo Sakoon
Yaad Phirr Aai Hai Neendoon Ko Uraane Waali…!
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,
Aye jaan
Apni yadoon se kahoo ke na aaya karain
Neend aati bhi nahi raat guzar jati hai..