Shayari About Missing Someone - Page 3 - Hindi Shayari

Wo Bholi Bhali Si Surat Unki

Wo Bholi Bhali Si Surat Unki,
Hum Bhool Bhi Toh Nahi Paate Hai,
Jab Bhi Yaad Aa Jaaye Unki Kabhi,
Hum hi Jante Hai Dil Ko Kaise Samjhate Hai.

Wo Bholi Bhali Si Surat Unki

Tu Yaad Kare Na Kare

Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi,
Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hai,
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai,
Hum To Intezaar Karte Rehte Hai.

Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi

Duniya Badal Jayegi

Duniya badal jayegi tum na badalna,
Mushkilo main ho jab bhi yaad hume kar lena,
Maange bhi aap se to kiya maange,
Dena khuch chaho hume to bas muskura dena.

Duniya Badal Jayegi

Aasmaan Hi Nahi Saare

Aasmaan Hi Nahi Saare Sitare Bhi Humare Hain,
Aap Jo Akele Ho To Hum Aapke Sahare Hain,
Jis Pal Aap Hume Yaad Karte Ho,
Wo Lamhe Saare Jahan Se Pyare Hain.

Aasmaan Hi Nahi Saare

Hum Wo Nahi Jo Bhool

Hum wo nahi jo bhool jaya karte hai,
Hum to wo hai jo nibhaya karte hai,
Door rehkar milna shayad mushkil hai,
Par hum yaad bankar dil mein bas jaya karte hai.

Hum Wo Nahi Jo Bhool

Door Hain Aapse Toh

Door Hain Aapse Toh Koi Gam Nahi,
Door Rehkar Bhulne Waale Hum Nahi,
Roj Mulaqat Na Ho To Kya Hua,
Aapki Yaad Aapki Mulaqat Se Kam NahI.

Door Hain Aapse Toh

Parchaayee Aapki Humari

Parchaayee aapki humari dil mein hai,
Yaade aapki humari aankhon mein hai..
Kaise bhulaye hum aapko,
Pyaar aapka humari sanson mein hai

Parchaayee Aapki Humari

Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai

Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai,
Na aansoo bahane ko jee Chahta hai,
Likhu to kya likhu teri Yaad Mein,
Bus tere pass laut aane ko jee chahta hai.

Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai

Ek Ajeeb Dastan Hai

Ek ajeeb dastan hai Mere afasane ki,
Maine pal pal koshish ki tere pas aane ki,
Kismat thi meri ya sazish jamane ki,
Dur huye itana jitani.. Ummeed thi kareeb aane ki..!

Ek Ajeeb Dastan Hai

Taras Gaye Apke Deedar Ko

Taras gaye apke deedar ko,
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai,
jo har roz apke husn ka deedar karta hai…

Taras Gaye Apke Deedar Ko

Tum Banke Dost Aise

Tum banke dost aise aaye zindagi mein,
ke hum ye zamana hi bhool gaye,
tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi,
par hum to tumhe bhulana hi bhool gaye.

Tum Banke Dost Aise

Dil Mein Chippi Yaadon Se

Dil mein chhipi yaadon se sawaru tujhe,
Tu dekhe to apni ankho me utaru tujhe,
Tere naam ko labo pe aise sajaya hain,
So bhi jaau to khawbo me pukaru tujhe!!

dil-mein-chhipi-yaadon-se-sawaru-tujhe

Dil Ke Har Kone Mein

Dil ke har kone mein dikkat hoti hai,
Kuch paa kar khone mein dikkat hoti hai,
Tum to roz hi khwaabon mein aa jaati ho,
Mujhko phir sone mein dikkat hoti hai…

Dil Ke Har Kone Mein

Khushi Se Dil Ko

Khushi se dil ko aabad karna,
Aur gham ko dil se azad karna,
Hamari bus itni gujarish hai ke hame bhi,
Din me ek baar dil se yaad karna.

Khushi Se Dil Ko

Aarzo Honi Chahiye Kisi Ko

आरज़ू होनी चाहिए किसी को याद करने की……!!
लम्हें तो अपने आप ही मिल जाते हैं,
कौन पूछता है पिंजरे में बंद पंछियों को,
याद वही आते है जो उड़ जाते है…!!

Dooriyan Ki Na Parwah Kijiye

दूरियों की ना परवाह कीजिये,
दिल जब भी पुकारे बुला लीजिये,
कहीं दूर नहीं हैं हम आपसे,
बस अपनी पलकों को आँखों से मिला लीजिये|

Udas Hoon Par Tujhse

Udas Hoon Par Tujhse Naraz Nahi..
Tere Dil Main Hoon Par Tere Pass Nahi..
Waise To Sab Kuch Hain Mere Pass..
Par Tere Jaisa Koi Khass Nahi.

Udas Hoon Par Tujhse

Tum Se Doori Ka Ehsaas Jab

Tum se doori ka ehsaas jab satane laga
tere saath guzra har lamha yaad aane laga
jab bhi tumhe bhulane ki koshish ki dost
tu dil ke aur bhi paas aane laga.

Tum Se Doori Ka Ehsaas Jab

Aansuon Ki Bunde Hain

आंसुओं की बूँदें हैं या आँखों की नमी है
न ऊपर आसमां है न नीचे ज़मी है
यह कैसा मोड़ है ज़िन्दगी का
उसी की ज़रूरत है और उसी की कमी है

Har Ek Manzar Pe Udasi

Har ek manzar pe udasi chayi hai,
Chand ki Roshni mein bhi kami aayi hai..
Akele ache they hum apne aashiyane mein,
Jaane kyu toot kar aaj phir aapki yaad aayi hai.

Har Ek Manzar Pe Udasi