Wo Aankhon Mein Kaajal Wo Baalon Mein Gajraa
Hatheli Pe Us Ke Hina Maheki Maheki
Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qaatil Ne Kahaa
Kuchh Ye Mehndi Nahin Meri Ke Mitaa Bhi Na Sakoon
Tere Tohfe To Sab Ache Hain Magar Mauj-E-Bahaar
Ab Ke Mere Liye Khushboo-E-Hina Aai Ho
Hum Chahat Ke Afsaane Likhtey Rahe…
Woh Bhi Humein Door Se Dekhte Rahe…
Jab Humne Izhaar Karne Ko Hath Thama…
To Mehndi Se Ranga Unka Hath Paya…
Hatheli pe jise likhti-mitati ho Wo nam mera hai,
Mehndi jis ke nam ki rachati ho Wo nam mera hai,
Jo juda he har pal tere namse Wo nam mera hi hai.
Kya Surma Bhari Aankhon Se Aansoo Nahin Bahte,
Kya Mehndi Lage Haathon Se Maatam Nahin Hotaa.
Kaun uthayega tumhari ye zafa mere baad,
Yad ayegi bahut meri wafa mere jane ke baad,
Shukra hai mahobat ne kiya itna range asar,
Teen din usne na lagai mehndi mere jaane ke baad.
Na Mere Zakhm Khile Hain Na Teraa Rang-E-Hina,
Mausam Aaye Hi Nahin Ab Ke Gulaabon Vaale.
Dosti Or Mehandi Me Khas Farak Nahi Hota,
Dono Ek Kaam Kar Jati Hai,
Zindgi Main Khushiyo Ke Rang Deti Hai,
Or Khud FANNAH Ho Jaati Hai.
Chand Maasoom Se Patton Kaa Lahoo Hai ‘Faakhir’
Jis Ko Mahaboob Ke Haathon Ki Hina Kahte Hain.
Tumhari Thi Shararat Mehndi Se Hatheli Pe Naam Likhna,
Aur Mujhe Ruswa Kar Diya Tum Ne Yunhi Khailte Khailte.
Woh Aaye Mehfil Main Mere, Samne Baithe Hain,
Apne Hathon Mein Mera Dil Dabaye Baithe Hain,
Humne Unse Pucha Kya Hai Tumhare Hathon Main,
Muskura Ke Boole Jaan Mehndi Lagaye Baithe Hain !!
Unke hathon pe mehandi ka hamain ye faida hua
Ke raat bhar un ke chere se zulfain hum hatate rahe .
Kya hua jo usne racha li mehndi,
Hamm bhi ab to sehra sajayenge.
Mujhe pata tha wo apne naseeb main nahi hai,
Ab uski chotti bahen ko fasayenge.
Uski Aankho Me Mohabbat Ki Chamak Aaj Bhi Hai..
Haala ki Use Meri Mohabbat Par Shak Aaj Bhi Hai..
Naaav Me Baith Kar Dhoye The Haath Usne Kabhi..
Poore Taalab Me Mehendi Ki Mehak Aaj Bhi Hai ..
Khuda-e-rehmat tu mera ho jaye,
Warna anjaam mera bahut bura hoga,
Rachaye jo agr tune mehandi se hath apne,
Wo mehandi nahi mere dil ka khoon hoga.
Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain,
Hamara Dil Churaye Baithe Hain,
Humne Unse Kaha Hamara Dil Hume Lauta Do,
To Bole Hum To Hatho Mein Mehendi Laga Ke Baithe Hain.