Apno Ne Hamein Yeh Shikhaya Hai,
Ki Bewafayi Kya Hoti Hai,
Door Unse Huye Toh Jana,
Ki Judai Kya Hoti Hai
Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti
To Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na Hoti
Sath Hi Guzarta Har Lamha To
Shayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti
Tere Hote Huye Bhi Tanhai Mili Hai,
Wafa Karke Bhi Dekho Buraai Mili Hai,
Jitni Dua Ki Tumhe Pane Ki,
Us se Jayada Teri Judai Mili Hai
Mehfil Bani Rahi Yuhi Tumhari,
Chahe Bikhar Jaye Ye Zindagi Hamari,
Deewangi Is Qadar Barh Gayi Hai,
K Seh Na Paye Ek Pal Judai Tumhari.
Teri Judai Mein Sajan,
Tere Patro Ka Sahara Hai,
Viraan Meri Yeh Duniya,
Tu Sansaar Hamara Hai,
Najar Mila Nahi Sakti,
Maafi Mangna Chahti Hun,
Khat Likhti Hun Isliye,
Galti Sudharna Chahti Hun.
Humne manga tha saath unka,
Woh judai ka gam de gaye!!..
Hum unki yado ke sahare ji lete,
Par woh bhul jaane ki kasam de gaye!!
Na Chaaho Itna Hame Chahaton Se Dar Lagta Hai,
Na Aao Itna Kareeb Judai Se Dar Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe Bharosa Hai Magar Apne Naseeb Se Dar Lagta Hai…
Kehte Hai Woh Majbur Hai Hum,
Na Chahte Hue Bhi Door Hai Hum,
Chura Lee Hai Unho Ne Dhadkane Humari,
Phir Bhi Kehte Hai Bekasoor Hai Hum…
Khawab Tha Bhikar Gaya,Khayal Tha Mila Nahi
Magar Ye Dil Ko Kya Hua, Ye Kyu Bujha Pata Nahi,
Tamam Din Udaas Din, Tamaam Shab Udasiyan,
Kissi Se Kya Bichad Gaya, Ke Jaise Kuch Bacha Nahi.
Har kadam har pal saath hai !
Door hoke bhi hum aapke pass hai !
Aapko ho na ho par hume aapki kasam,
Aapki kami ka har pal ehsaas hai..”!
Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hai,
Is Tarah Judai Ka Gam Mita Leta Hai,
Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Toh,
Hass Kar Bheegi Palkein Jhuka Leta Hai.
Kisi Sham Mujhe Tut Ke Bikhrte Dekho,
Meri Rooh Me Zehar-E-Judai Ko Utarte Dekho,
Kis-Kis Ada Se Tumhe Manga Hai Rabse,
Aao KabHi Mujhe Sajde Me Sisakte dekho.
Aap Toh Chale Jaaoge Magar Kaise Jiyenge Hum,
Aapki Judai Ka Jahar Kaise Piyenge Hum,
Aap Bhale Hi Bhula Dena Apne Sagar Ko Magar,
Na Bhule Se Bhi Kabhi Apne Gham Siyenge Hum.
Sabko Khuda pyara hota hai,
Koi na koi kisi ka sahara hota hai,
Kisi ki thodi si Judai se jo tadap jaye,
Log kahte hai wahi Rishta sabse pyara hota hai.
Log milte hain, Aur phir ek dusre ke kareeb aate hain,
Aur kareeb aakar, Aksar juda ho jate hain,
Agar kismat mai juda hona likha hota hai,
Toh khuda aise logon se milata kyun hai.
Kaisi ajeeb ye tujhse Judai thi,
Ki tujhe alvida bhi na keh saka,
Teri saadgi mai itna fareb tha,
Ki tujhe bewafa bhi na keh sake.
Subah Juda Hai Raat Juda Hai,
Apni To Her Baat Juda Hai,
Tumse Bichar Ker Aisa Laga,
Jaise Dua Main Haath Juda Hai,
Sab To Aate Rahte Hai,
Tum Aao To Baat Juda Hai.
Yaad ro-ro ke teri satati rahi,
Aag judai ki dil ko jalati rahi.,
Aandhiyan jab guzarti rahi baagh se,
Shakh-e-gul apne sar ko jhukaati rahi.
Majburi Me Jab Koi Juda Hota Hai,
Zaruri Nahi Ke Wo Bewafa Hota Hai,
De Kar Wo Aapki Aankho Me Aansu,
AkeLe Me Aapse Bhi Zyada Rota Hai.
Ho Judai Ka Sabab Kuch Bhi Magar,
Hum Use Apni Khata Kehte Hain,
Woh Ton Saanson Mein Dhali Hai Mere,
Jaane Kyun Log Use Mujhse Juda Kehte Hain.