Chhedati Hain Kabhi Lab Ko Kabhi Rukhsaaron Ko,
Tum Ne Zulfon Ko Bahut Sar Pe Chadhaa Rakha Hai.
Mukhalif Baad-E-Sarsar Mein Zara Lahraane Do Zulfen,
Isi Mein Hum Watan Ka Apne Parcham Dekh Lete Hain,
Nazar Se Aasman Ko Dekhna Bhi Kya Zaroori Hai,
Teri Zulfon Mein Jaanam Kahkashan Hum Dekh Lete Hain.
Andaz apna dekhte hain aaine mein vo,
Zulfein sanwar kar kabhi zulfein bigar kar.
Zaahid Ne Mera Haasil-E-Imaan Nahin Dekha,
Rukh Par Teri Zulfon Ko Pareshaan Nahin Dekha.
Poocha jo in se chand nikalta hai kis tarah,
Zulfon ko rukh pe dal k jhatka dia keh yun.
Zulfon Ki To Fitrat Hai Lekin Mere Pyare,
Zulfon Se Bhi Zyada Balkhaye Chalo Ho.
Rukh-E-Taabaan To Huwa Jaan Ka Khwahaan Paida,
Dil Phansaane Ko Huwi Zulf-E-Prishaan Paida.
Ghani zulfon k saye mein chamakta chand sa chehra,
Tujhe dekhon to kuch ratein sohani yaad aati hain.
Kya Poochte Ho Ishq Hai Zulf-E-Dona Ke Saath,
Ham Teera-Bakht Rahte Hain Kali Bala Ke Saath.
Zulfon ko dia hai rukh e zeba ne ajab rung,
Jalwon se tere aur bhi roshan huye saye.
Zulf Se Hai Ai Pari-Roo Husn Tera Jis Tarah,
Bas Yun Hi Zeenat Hai Ham Deewaanon Ki Zanjeer Ki.
Rung perahan ka khushboo zulf lehrane ka naam,
Mosam e Gul hai tumhare baam par aane ka naam.
Khushbo kahin na jaye yeh israr hai buhat,
Aur yeh bhi aarzu keh zara zulf kholye.
Apni Zulfon Ko Sitaron Ke Havaale Kar Do,
Shahr-E-Gul Bada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do.
Talkhi-E-Hosh Ho Ya Masti-E-Idarak-E-Junoon,
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do.
Sair-E-Bahaar-O-Baagh Se Ham Ko Muaaf Keejiye,
Us Ke Khayaal-E-Zulf Se ‘Dard’ Kise Faraagh Hai.