Usi Ne Mujh Pe Uthaye Hain Sang Jis Ke Liye,
Main Paash-Paash Huaa Ghar Nigaar-Khaana Hua.
Apna Ghar Kya Ghar Tha Lekin Haan Ek Ghar Ka Naam Sa Tha,
Teri Tawajjoh Se Ab Wo Bhi, Shaamil Hai Weeraanon Mein.
Darta Hoon Dekh Kar Dil-E-Be-Aarzoo Ko Main,
Sunsaan Ghar Yeh Kyun Na Ho Mehmaan To Gaya.
Bhoole Se Bhi Pahunche Na Tere Ghar Mein Kabhi Ham,
Barson Yun Hi Khaar-E-Sar-E-Deewaar Se Uljhe.
Gharon Pe Naam The Naamon Ke Saath Ohade The,
Bahut Talaash Kiyaa Koi Aadami Na Milaa,
Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Ke Banaane Mein,
Tum Taras Nahin Khaate Bastiyaan Jalaane Mein.
Kal Jaane Kaise Honge Kahaan Honge Ghar Ke Log,
Aankhon Men Ek Baar Bharaa Ghar Samet Loon.
Divaar Khastaa Haal Hai Aur Dar Udaas Hai,
Jab Se Koi Gayaa Hai Meraa Ghar Udaas Hai ..
Yaad Nahin Kyaa Kya Dekha Tha Saare Manzar Bhool Gaye,
Us Ki Galiyon Se Jab Laute Apnaa Bhi Ghar Bhool Gaye.
Khoob Gaye Pardes Ki Apne Deevaar-O-Dar Bhool Gaye, Sheesh-Mahal Ne Aisaa Gheraa Mitti Ke Ghar Bhool Gaye.
Nazar Mein Khatke Hai Bin Tere Ghar Ki Aabadi,
Hamesha Rote Hain Ham Dekh Ke Dar-O-Divaar ,
Tum Maah-E-Shab-E-Chaar Daaham The Mere Ghar Ke,
Phir Kyoon Na Rahaa Ghar Kaa Vo Naqshaa Koi Din Aur.
Be-Dar-O-Divaar Kaa Ik Ghar Banaayaa Chaahiye,
Koi Ham-Sayaa Na Ho Aur Paas-Baan Koi Na Ho.
Ug Rahaa Hai Dar-O-Divaar Pe Sabzaa “Ghalib” Ham Bayaabaan Mein Hain Aur Ghar Mein Bahaar Aai Hai
Wo Aaye Ghar Mein Hamaare Khudaa Ki Qudrat Hai,
Kabhi Ham Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain.
Nayi Nayi Aankhein Ho To Har Manzar Acha Lagta Hai,
Kuch Din Shehar Mein Ghume Lekin, Ab Ghar Acha Lagta Hai,
Milne-Julnewalon Mein To Saare Apne Jaise Hain,
Jis-se Ab Tak Mile Nahi Voh Aksar Acha Lagta Hai,
Humne Bhi So Kar Dekha Hai Naye-Purane Shehro Mein,
Jaisa Bhi Hai Apne Ghar Ka Bistar Acha Lagta Ha.
Raaste Mein Mil Gayaa To Shareek-E-Safar Na Jaan,
Jo Chhaaon Meharbaan Ho Use Apnaa Ghar Na Jaan.
Ek Hangaame Pe Mauqoof Hai Ghar Ki Raunaq Nauha-E-Gham Hi Sahi Naghma-E-Shaadi Na Sahi ..