Ghar Ki Dahleej Par Meri,
Jab Kadam Woh Rakhenge,
Har Baat Ko Kahne Se Pahle,
Woh Hamein Yaad Jarur Karenge.
जब किसी से कोई गीला रखना, सामने अपने आईना रखना,
यूं उजालों से वासता रखना, शम्मा के पास ही हवा रखना,
घर कि तामीर चाहे जैसी हो, इसमें रोने कि जगह रखना,
मस्जिदें हैं नामाजियों के लिए, अपने घर में कहीं खुदा रखना,
मिलना-जुलना जहाँ जरूरी हो, मिलने-जुलने कि हौसला रखना !
Ghar Mein Yeh Maanoos Si Khushboo Kahan Se Aa Gayi,
Is Kharaabe Mein Agar Aayaa, Gaya Koi Nahin.
Ghar Kabhi Ujra Nahin, Ghar Ka Shijra Hai Gawaah,
Hum Gaye To Aa Ke Koi Doosra Rah Jaaye Ga.
Bahut Dino Mein Mere Ghar Ki Khamoshi Tooti,
Khud Apne Aap Se Ek Din Kalaam Main Ne Kiya.
Ajeeb Khawab Tha Apne Hi Ghar Mein Saari Raat,
Talash Karta Raha Mujh Ko Apna Ghar Na Mila.
Us Sey Kahna Ke Palkon Par Na Taanke Khwaab Ki Jhaalar,
Samandar Ke Kinaare Ghar Banaa Ke Kuchh Nahin Miltaa.
Mere Khudaa Mujhe Itnaa To Motabir Kar De,
Main Jis Makaan Men Rahtaa Hoon Us Ko Ghar Kar De.
Baarish Hui To Ghar Ke Dariche Se Lage Ham,
Chup-Chaap Sog-Vaar Tumhen Sochte Rahe.
Ye Sard Raat Ye Aavaragi Ye Neend Kaa Bojh,
Ham Apne Shahar Mein Hote To Ghar Gaye Hote.
Jab Ghar Ko Mere Aag Lagi To Kuchh Maal Bacha Thaa Jalne Se,
Aur Vo Bhi Un Ke Haath Lagaa Jo Aag Bujhaane Aaye The.
Allah Re Be Khudi Tere Ghar Ke Aas Paas,
Har Dar Pe Di Sadaa Tere Dar Ke Khayaal Mein.
Kuchh Din To Naseer Aao Chalo Ghar Mein Raha Jaaye,
Loagon Ko Yeh Shikwa Hai Ke Ghar Par Nahin Milta.
Ji Dhoondhta Hai Ghar Koi Donon Jahaan Se Door,
Is Aap Ki Zamin Se Alag, Aasmaan Se Door.
Kuchh Hai Ki Jo Ghar Pe Nahin Paata Hai Kisi Ko,
Varna Koi Aise To Safar Mein Nahin Rahtaa.
Nagi Nagri Phira Musaafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya,
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraaya Bhool Gaya.